KHwab se tabir tak
maiñ us insān se
vāqif huuñ
jis ne
madīne kī zamīn-e-pāk se
kuchh ḳhaak lā kar
banā.ī thiiñ
kanhayyā kī shabīheñ
raam aur lachhman kī tasvīreñ
sar-e-chashm-e-aqīdat
shiv kī mūrat thī
kahīñ arjun kī sūrat
jilau meñ in butoñ ke
thā vahāñ
rāvan kā bhī paikar
vo gāgar
jis meñ vo
kuchh āb-e-zam-zam
bhar ke laayā thā
tabarruk kī tarah
us ne milāyā gangā-jal us meñ
diye phir ġhusl us ne
in butoñ ko
usī paanī se
jis meñ ruuh kī
ḳhushbū mahaktī thī
mohabbat gungunātī thī
huā phir ye
yakāyak
saare hī but
jaag uTThe
aadmī kā ruup le kar
phir us ke baad
mirī āñkhoñ ne dekhā
ki us kī laash thī
aur ḳhūnī panje
devtāoñ ke
main us insan se
waqif hun
jis ne
madine ki zamin-e-pak se
kuchh KHak la kar
banai thin
kanhayya ki shabihen
ram aur lachhman ki taswiren
sar-e-chashm-e-aqidat
shiw ki murat thi
kahin arjun ki surat
jilau mein in buton ke
tha wahan
rawan ka bhi paikar
wo gagar
jis mein wo
kuchh aab-e-zam-zam
bhar ke laya tha
tabarruk ki tarah
us ne milaya ganga-jal us mein
diye phir ghusl us ne
in buton ko
usi pani se
jis mein ruh ki
KHushbu mahakti thi
mohabbat gungunati thi
hua phir ye
yakayak
sare hi but
jag uTThe
aadmi ka rup le kar
phir us ke baad
meri aankhon ne dekha
ki us ki lash thi
aur KHuni panje
dewtaon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.