KHwab
surḳh Dhalakte āñchal se chhalakte
siyāh pechīda ḳhvāb
ki jab soch kī gahrā.iyoñ ko phalāñgte hue
apnī hadeñ paar karne kī koshish karte haiñ
to sañg-zanī kā andesha hotā hai
kyūñki adhūre ḳhvāb-o-ḳhayāl kufr kī mānind hote haiñ
vo kufr jis pe sañg-zanī kī dafa lag jaa.e
aur ek ek sañg jism ko chhūtā huā
ruuh meñ utartā hai to
sañg kī sī puḳhtagī kā ehsās hotā hai
soch kī gahrā.iyoñ se umañDtī huī
pechīda lahreñ jab makāñ kī vus.atoñ ko Takrātī haiñ
to ḳhvāboñ ko chaknā-chūr kartī huī
haqīqatoñ kā mandir taḳhlīq kartī huī
ek Talī lagātī jaatī haiñ
ki ab ke baar koī aa.e to ḳhabar ho jaa.e
kyūñki be-ḳhabarī taklīf detī hai
surKH Dhalakte aanchal se chhalakte
siyah pechida KHwab
ki jab soch ki gahraiyon ko phalangte hue
apni haden par karne ki koshish karte hain
to sang-zani ka andesha hota hai
kyunki adhure KHwab-o-KHayal kufr ki manind hote hain
wo kufr jis pe sang-zani ki dafa lag jae
aur ek ek sang jism ko chhuta hua
ruh mein utarta hai to
sang ki si puKHtagi ka ehsas hota hai
soch ki gahraiyon se umanDti hui
pechida lahren jab makan ki wusaton ko Takraati hain
to KHwabon ko chakna-chur karti hui
haqiqaton ka mandir taKHliq karti hui
ek Tali lagati jati hain
ki ab ke bar koi aae to KHabar ho jae
kyunki be-KHabari taklif deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.