KHwab talashi
vo merī āñkhoñ meñ
bhārī jūtoñ samet aa kar
ye pūchhte haiñ
ye aks kyā hai
kahāñ se aaya hai
kaise manzar se
kin darīchoñ se
kin anāsir kī raushnī se vajūd pā kar
tumhārī āñkhoñ meñ aa basā hai
ye kaise aañsū haiñ
un ke hone kā raaz
dukh yā ḳhushī hai koī
ḳhushī kā āḳhir ko naam kyā hai
dukhoñ kī naslī shanāḳht kyā hai
ye ḳhvāb kyoñ haiñ
kahāñ hai in kā javāz-nāma
ye kin duāoñ kā
kaise ismoñ kā
kaise hoñToñ ke narm bosoñ kā
hausla haiñ
mahīn pardoñ meñ
kin ke chehre haiñ
naqsh kaise haiñ
aur jismoñ ke nazriyātī ḳhutūt kyā haiñ
sabhī batāo
vo merī āñkhoñ meñ
bhārī jūtoñ samet aa kar
ye pūchhte haiñ
ki kaun huuñ maiñ
wo meri aankhon mein
bhaari juton samet aa kar
ye puchhte hain
ye aks kya hai
kahan se aaya hai
kaise manzar se
kin darichon se
kin anasir ki raushni se wajud pa kar
tumhaari aankhon mein aa basa hai
ye kaise aansu hain
un ke hone ka raaz
dukh ya KHushi hai koi
KHushi ka aaKHir ko nam kya hai
dukhon ki nasli shanaKHt kya hai
ye KHwab kyon hain
kahan hai in ka jawaz-nama
ye kin duaon ka
kaise ismon ka
kaise honTon ke narm boson ka
hausla hain
mahin pardon mein
kin ke chehre hain
naqsh kaise hain
aur jismon ke nazriyati KHutut kya hain
sabhi batao
wo meri aankhon mein
bhaari juton samet aa kar
ye puchhte hain
ki kaun hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.