KHwab-tamasha(1)
ye tāñbe kā ākāsh ujāle se ḳhālī
aur ye lohe ke shahr dhueñ meñ Duube hue
ye nīvan sign kī raushniyoñ meñ ghirī huī tārīk safeñ
ye shor sharāba aane vaalī lambī raat kī haibat kā
sach pūchho to ab merā dukh tanhā.ī nahīñ
kuchh aur hī baat hai jis se dil ghabrāyā hai
maiñ chāhūñ to
mujh ko bhī koī be-kār bahāna jiine kā mil saktā hai
maiñ chāhūñ to
is shor sharābe meñ ḳhud ko kho saktā huuñ
maiñ chāhūñ to
merā dukh tanhā.ī nahīñ
kuchh aur hī baat hai jis se dil ghabrātā hai
ye tanbe ka aakash ujale se KHali
aur ye lohe ke shahr dhuen mein Dube hue
ye niwan sign ki raushniyon mein ghiri hui tarik safen
ye shor sharaba aane wali lambi raat ki haibat ka
sach puchho to ab mera dukh tanhai nahin
kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraya hai
main chahun to
mujh ko bhi koi be-kar bahana jine ka mil sakta hai
main chahun to
is shor sharabe mein KHud ko kho sakta hun
main chahun to
mera dukh tanhai nahin
kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraata hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 555)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.