KHwabon ka chhakDa
raat hote hī
ḳhvāboñ kā chhakḌā chal paḌtā hai
chhakḌe meñ bahut saare ḳhvāb hote haiñ
ḳhvāboñ kā chhakḌā
tartīb ke saath ḳhvāb bāñTne lagtā hai
har shaḳhs tak
us kā ḳhvāb pahuñch jaatā hai
saarī raat
log ḳhvāb ke ḳhumār meñ rahte haiñ
sub.h-e-kāzib hote hī
chhakḌā ḳhvāboñ ko vasūl kartā hai
mujhe ḳhvāb meñ bhī
bahut saare ḳhvāb milte haiñ
raat hote hī
ḳhvāboñ ke chhakḌe meñ
mujhe jot diyā jaatā hai
raat hote hi
KHwabon ka chhakDa chal paDta hai
chhakDe mein bahut sare KHwab hote hain
KHwabon ka chhakDa
tartib ke sath KHwab banTne lagta hai
har shaKHs tak
us ka KHwab pahunch jata hai
sari raat
log KHwab ke KHumar mein rahte hain
subh-e-kazib hote hi
chhakDa KHwabon ko wasul karta hai
mujhe KHwab mein bhi
bahut sare KHwab milte hain
raat hote hi
KHwabon ke chhakDe mein
mujhe jot diya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.