KHwabon ka murda ghar
tanhā.ī ko ḳhvāb kī dastak dete dekhā
dekhā ik gumbad ke nīche
khaḌā huā huuñ
suntā huuñ ḳhud kī āvāzeñ
ye āvāzeñ
mujh ko vāpas le jaatī haiñ
ḳhvāboñ ke us murda-ghar meñ
jo bilkul tārīk paḌā hai
jis meñ mere maazī ke kirdāroñ ke
kuchh kafan paḌe haiñ
un logoñ ke
jo zīnat the in ḳhvāboñ kī
lekin un kirdāroñ kī ab shakl nahīñ hai
ik tārīkī hai badbū hai ḳhāmoshī hai
murda-ghar ke pardoñ se
merī āvāzeñ jhuul rahī haiñ
jin se ik chamgādaḌ kā nanhā sā bachcha
khel rahā hai
saḌkoñ par kohrām machā hai
kuchh to huā hai
log mare haiñ
lahū bahā hai
aur ye chamgādaḌ kā bachcha
merī tanhā.ī kā vāris
merī āvāzoñ kī larzāñ uñglī thāme
mujh ko us manzar kī jānib khīñch rahā hai
jahāñ kisī nanhe bachche kī
laash paḌī hai
aur vo chamgādaḌ kā bachcha
mere zehn kī sūkhī partoñ meñ
ehsās kā resha DhūñD rahā hai
aur is ThanDī laash pe baiThā
sisak rahā hai
tanhai ko KHwab ki dastak dete dekha
dekha ek gumbad ke niche
khaDa hua hun
sunta hun KHud ki aawazen
ye aawazen
mujh ko wapas le jati hain
KHwabon ke us murda-ghar mein
jo bilkul tarik paDa hai
jis mein mere mazi ke kirdaron ke
kuchh kafan paDe hain
un logon ke
jo zinat the in KHwabon ki
lekin un kirdaron ki ab shakl nahin hai
ek tariki hai badbu hai KHamoshi hai
murda-ghar ke pardon se
meri aawazen jhul rahi hain
jin se ek chamgadaD ka nanha sa bachcha
khel raha hai
saDkon par kohram macha hai
kuchh to hua hai
log mare hain
lahu baha hai
aur ye chamgadaD ka bachcha
meri tanhai ka waris
meri aawazon ki larzan ungli thame
mujh ko us manzar ki jaanib khinch raha hai
jahan kisi nanhe bachche ki
lash paDi hai
aur wo chamgadaD ka bachcha
mere zehn ki sukhi parton mein
ehsas ka resha DhunD raha hai
aur is ThanDi lash pe baiTha
sisak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.