KHwabon KHayalon ki apsara
suḳhan fareb koī mehrbāñ kī tarah
dayār-e-husn hai duniyā kī dāstāñ kī tarah
ye muskurātī huī sub.d-o-shām-o-shab kī dulhan
dil-o-nazar ke liye sūd-e-be-ziyāñ kī tarah
ye imtizāj-o-zar-e-shirq-o-ġharb kā culture
nigāh-e-husn liye ishq āshiqāñ kī tarah
harīr-o-resham-o-dībā meñ rañg-e-nāz-o-adā
sukūn-e-dil ke liye haiñ qarār-e-jāñ kī tarah
ye rañg rañg ke unvāñ liye hasīñ chehre
sanam-kadoñ meñ taḳhayyul ke haiñ butāñ kī tarah
suDaul jism ki sard-e-ravāñ sar-e-rāhe
chale haiñ naaz se hūrān-e-āsmāñ kī tarah
ye lahkī mahkī fazā.eñ ye dil-rubā paikar
guloñ ke rañg meñ Duube hue jahāñ kī tarah
ye rabt-o-raqs-o-tarannum havā kī lahroñ meñ
qadam qadam pe adā-hā-e-mah-vishāñ kī tarah
ye jagmagātī huī raat ye dahakte kañval
nujūm-o-māh-o-surayyā-o-kahkashāñ kī tarah
ye mere ḳhvāboñ-ḳhayāloñ kī apsarā jis meñ
nigāh-e-fikr-o-amal tiir kī kamāñ kī tarah
magar vatan bhī chhuTā 'daur' dil kī dil meñ rahī
ye bamba.ī bhī na ho ḳhvāb-e-dīgarāñ kī tarah
suKHan fareb koi mehrban ki tarah
dayar-e-husn hai duniya ki dastan ki tarah
ye muskuraati hui subd-o-sham-o-shab ki dulhan
dil-o-nazar ke liye sud-e-be-ziyan ki tarah
ye imtizaj-o-zar-e-shirq-o-gharb ka culture
nigah-e-husn liye ishq aashiqan ki tarah
harir-o-resham-o-diba mein rang-e-naz-o-ada
sukun-e-dil ke liye hain qarar-e-jaan ki tarah
ye rang rang ke unwan liye hasin chehre
sanam-kadon mein taKHayyul ke hain butan ki tarah
suDaul jism ki sard-e-rawan sar-e-rahe
chale hain naz se huran-e-asman ki tarah
ye lahki mahki fazaen ye dil-ruba paikar
gulon ke rang mein Dube hue jahan ki tarah
ye rabt-o-raqs-o-tarannum hawa ki lahron mein
qadam qadam pe ada-ha-e-mah-wishan ki tarah
ye jagmagati hui raat ye dahakte kanwal
nujum-o-mah-o-surayya-o-kahkashan ki tarah
ye mere KHwabon-KHayalon ki apsara jis mein
nigah-e-fikr-o-amal tir ki kaman ki tarah
magar watan bhi chhuTa 'daur' dil ki dil mein rahi
ye bambai bhi na ho KHwab-e-digaran ki tarah
- Veeraniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.