KHwabon ki rakh
maiñ ne sochā thā kabhī maiñ ne ye chāhā thā kabhī
zindagī apnī mohabbat kī girāñ-bār na ho
tere jalve mirī āñkhoñ se kabhī duur na huuñ
fāsla apne liye raah kī dīvār na ho
maiñ ne sochā thā kabhī maiñ ne ye samjhā thā kabhī
merī jaañ mastī-e-fikr-o-nazar hai tujh se
zulf-o-ruḳhsār kī uḌtī huī ḳhushbū kī qasam
raunaq-e-silsila-e-shām-o-sahar hai tujh se
maiñ ne sochā thā kabhī maiñ ne ye chāhā thā kabhī
merī bikhrī huī āvāz kā jaadū tū hai
merī taḳh.īl pe lahrā.ī huī qaus-e-quzah
mere ehsās pe chhā.ī huī ḳhushbū tū hai
merī firdaus-e-tasavvur tirī ulfat kī qasam
markaz-e-nazm-o-ġhazal tujh ko banāyā maiñ ne
merī taḳh.īl meñ ai gulshan-e-nairañg-e-nigāh
apne naġhmoñ se shabistān sajāyā maiñ ne
maiñ ne samjhā kabhī 'azrā' kabhī 'sītā' tujh ko
kabhī 'shīrīñ' nazar aa.ī hai mujhe māh-jabīñ
kabhī ik paikar-e-ma.asūm 'zuleḳhā' ban kar
merī afsurda sī duniyā ko kiyā tū ne hasīñ
phir faroġh-e-lab-o-ruḳhsār se ai sho.ala-badan
dil meñ armān kī sham.oñ ko jalāyā maiñ ne
dasht-e-vahshat meñ liye qāfila-e-shauq tamām
apnī manzil kā pata azm se paayā maiñ ne
zulmat-e-yās meñ muztar-e-dil-o-dīda ke liye
shām-e-gesū liye aatī hai rahī paiġhām-e-sahar
bārhā terī nigāhoñ kā fusūñ jaag uThā
jhilmilāte hue tāroñ meñ mirī rashk-e-qamar
kyā batā.ūñ tirī ulfat meñ mirī jān-e-vafā
maiñ ne hañs hañs ke uThā.e haiñ zamāne ke sitam
aaj lekin mujhe hālāt ne majbūr kiyā
maiñ bhaTaktā huuñ pareshān liye bār-e-alam
aaj ma.alūm huā ātish-e-hijrāñ kyā hai
merī palkoñ pe mire ashkoñ bhī jal jaate haiñ
ham-safar milte haiñ daurān-e-safar kuchh aise
jo sar-e-manzil-e-maqsūd badal jaate haiñ
ḳhvāb-o-armān kī hai raakh mire dāman meñ
sochtā huuñ tirī chāhat ne diyā kyā mujh ko
jāntā huuñ ki miTā.eñge sar-e-hastī se
ek din ashk-o-alam jān-e-tamannā mujh ko
aaj ye raaz khulā aaj ye ma.alūm huā
terā dil mere liye to kabhī betāb na thā
kitnī be-rañg huī terī mohabbat kī kitāb
us fasāne meñ haqīqat kā koī baab na thā
merā sochā mirā samjhā mirā chāhā na huā
merī āñkhoñ kā koī ḳhvāb tirā ḳhvāb na thā
main ne socha tha kabhi main ne ye chaha tha kabhi
zindagi apni mohabbat ki giran-bar na ho
tere jalwe meri aankhon se kabhi dur na hun
fasla apne liye rah ki diwar na ho
main ne socha tha kabhi main ne ye samjha tha kabhi
meri jaan masti-e-fikr-o-nazar hai tujh se
zulf-o-ruKHsar ki uDti hui KHushbu ki qasam
raunaq-e-silsila-e-sham-o-sahar hai tujh se
main ne socha tha kabhi main ne ye chaha tha kabhi
meri bikhri hui aawaz ka jadu tu hai
meri taKHil pe lahrai hui qaus-e-quzah
mere ehsas pe chhai hui KHushbu tu hai
meri firdaus-e-tasawwur teri ulfat ki qasam
markaz-e-nazm-o-ghazal tujh ko banaya main ne
meri taKHil mein ai gulshan-e-nairang-e-nigah
apne naghmon se shabistan sajaya main ne
main ne samjha kabhi 'azra' kabhi 'sita' tujh ko
kabhi 'shirin' nazar aai hai mujhe mah-jabin
kabhi ek paikar-e-masum 'zuleKHa' ban kar
meri afsurda si duniya ko kiya tu ne hasin
phir farogh-e-lab-o-ruKHsar se ai shoala-badan
dil mein arman ki shamon ko jalaya main ne
dasht-e-wahshat mein liye qafila-e-shauq tamam
apni manzil ka pata azm se paya main ne
zulmat-e-yas mein muztar-e-dil-o-dida ke liye
sham-e-gesu liye aati hai rahi paigham-e-sahar
barha teri nigahon ka fusun jag uTha
jhilmilate hue taron mein meri rashk-e-qamar
kya bataun teri ulfat mein meri jaan-e-wafa
main ne hans hans ke uThae hain zamane ke sitam
aaj lekin mujhe haalat ne majbur kiya
main bhaTakta hun pareshan liye bar-e-alam
aaj malum hua aatish-e-hijran kya hai
meri palkon pe mere ashkon bhi jal jate hain
ham-safar milte hain dauran-e-safar kuchh aise
jo sar-e-manzil-e-maqsud badal jate hain
KHwab-o-arman ki hai rakh mere daman mein
sochta hun teri chahat ne diya kya mujh ko
jaanta hun ki miTaenge sar-e-hasti se
ek din ashk-o-alam jaan-e-tamanna mujh ko
aaj ye raaz khula aaj ye malum hua
tera dil mere liye to kabhi betab na tha
kitni be-rang hui teri mohabbat ki kitab
us fasane mein haqiqat ka koi bab na tha
mera socha mera samjha mera chaha na hua
meri aankhon ka koi KHwab tera KHwab na tha
- Book : Dard aashna (Pg. 51)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.