KHwabon ko samjhaute ras nahin aate
dil meñ ik ma.adūm zamāne ke
aur ik duniyā ke hone kī
ummīd liye
āñkhoñ meñ patjhaḌ thāme
sākit sard havā par uḌtī titlī
ruk jā
tham jā
mujhe ye Dar lagtā hai
ik din yahī sākit sard havā
jhakkaḌ ban jā.egī
yahī talve chūmtī miTTī
bagūle ban kar
tere ta.āqub meñ niklegī
tere narm paroñ kī dushman
pāgal titlī
tere ḳhvāb terī duniyā haiñ
lekin ik duniyā
tere ḳhvāboñ se bāhar bhī bastī hai
is duniyā meñ jiinā samjhauta hai
lekin ḳhvāboñ ko samjhaute raas nahīñ aate
phir bhī tū ne isī havā par uḌnā hai
in shāḳhoñ par phuul bahut kam ugte haiñ
lekin tujhe to inhī shāḳhoñ par baiThnā hai
tham jā titlī
mere dil kī miTTī meñ ab phuul nahīñ khilte
lekin jab bhī phuul khile
tum pahle phuul pe baiThnā
mujh meñ uḌnā
jab tak dil chāhe
tham jā titlī
dil mein ek madum zamane ke
aur ek duniya ke hone ki
ummid liye
aankhon mein patjhaD thame
sakit sard hawa par uDti titli
ruk ja
tham ja
mujhe ye Dar lagta hai
ek din yahi sakit sard hawa
jhakkaD ban jaegi
yahi talwe chumti miTTi
bagule ban kar
tere taaqub mein niklegi
tere narm paron ki dushman
pagal titli
tere KHwab teri duniya hain
lekin ek duniya
tere KHwabon se bahar bhi basti hai
is duniya mein jina samjhauta hai
lekin KHwabon ko samjhaute ras nahin aate
phir bhi tu ne isi hawa par uDna hai
in shaKHon par phul bahut kam ugte hain
lekin tujhe to inhi shaKHon par baiThna hai
tham ja titli
mere dil ki miTTi mein ab phul nahin khilte
lekin jab bhi phul khile
tum pahle phul pe baiThna
mujh mein uDna
jab tak dil chahe
tham ja titli
- Book : Pakistani Adab (Pg. 112)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.