KHwahish
koī shaam kī aahaT se pahle
koī shaam kī aahaT se pahle
Dhaltī huī sah-pahar meñ
phone kar ke bulā.e mujhe
kahīñ kisī
sarsabz lawn meñ biThā kar
achchhī sī chaa.e pilā.e mujhe
aur
chaa.e ke saath
ik mahfil jame
kuchh naġhme barseñ
kuchh sher uḌeñ
kuchh khaTTī mīThī sī
dhīmī dhīmī sī
bāteñ baneñ
aur bātoñ bātoñ meñ
thaam kar haath merā
vo dhīme se ik sargoshī kare
mujh se mohabbat kā dam bhare
maiñ uljhā uljhā soche jā.ūñ
us pal ko sadiyāñ sauñpe jā.ūñ
phir soch kar kuchh kahūñ us se
jo kahā hai
phir se dohrāoge
sach kaho mere ho jāoge
vo dabā kar nichlā lab apnā
bhar ke āñkhoñ meñ
sab kuchh apnā
dhīme se sar hilā.e
haule se merā haath dabā.e
aur
muskurā kar kahe
haañ mujhe tum se mohabbat hai
aur is iqrār ke baad achānak se
kaale bādal ghir kar chhā.eñ
ThanDī sī purvā.ī chale
aur
āsmān is iqrār ke sadqe
ham pe
bhīge bhīge phuul barsā.e
aur us tez bārish meñ
ham donoñ
duur kisī baaġh ke goshe meñ
bhīge bhīge lipTe khaḌe hoñ
koī to aisā bhī shaḳhs aa.e
shaam kī aahaT se pahle
Dhaltī huī sah-pahar meñ
phone kar ke bulā.e mujhe
koi sham ki aahaT se pahle
koi sham ki aahaT se pahle
Dhalti hui sah-pahar mein
phone kar ke bulae mujhe
kahin kisi
sarsabz lawn mein biTha kar
achchhi si chae pilae mujhe
aur
chae ke sath
ek mahfil jame
kuchh naghme barsen
kuchh sher uDen
kuchh khaTTi miThi si
dhimi dhimi si
baaten banen
aur baaton baaton mein
tham kar hath mera
wo dhime se ek sargoshi kare
mujh se mohabbat ka dam bhare
main uljha uljha soche jaun
us pal ko sadiyan saunpe jaun
phir soch kar kuchh kahun us se
jo kaha hai
phir se dohraoge
sach kaho mere ho jaoge
wo daba kar nichla lab apna
bhar ke aankhon mein
sab kuchh apna
dhime se sar hilae
haule se mera hath dabae
aur
muskura kar kahe
han mujhe tum se mohabbat hai
aur is iqrar ke baad achanak se
kale baadal ghir kar chhaen
ThanDi si purwai chale
aur
aasman is iqrar ke sadqe
hum pe
bhige bhige phul barsae
aur us tez barish mein
hum donon
dur kisi bagh ke goshe mein
bhige bhige lipTe khaDe hon
koi to aisa bhi shaKHs aae
sham ki aahaT se pahle
Dhalti hui sah-pahar mein
phone kar ke bulae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.