KHwahish
māh-o-sāl se thoḌā haT ke
dasht aur dar se duur
hijr visāl kī zad se bāhar
raat aur din ke paar
kabhī fursat se mil yaar
tan kī miTTī jhaaḌ de
man mandir kī khiḌkī khol
āvāzoñ ke jangal meñ
kabhī chup kī bolī bol
merī aañkh ke darpan meñ
dekh apnā ruup sarūp
mere ishq ke gahne se
kabhī apnā aap sañvār
kabhī fursat se mil yaar
kabhī apne aap se bāhar aa
Tuk baiTh hamāre saath
chal dukh dariyā ke paar chaleñ
lā haath meñ de de haath
ham apnā honā tyaag ke
tire hone par tayyār
kabhī fursat se mil yaar
mah-o-sal se thoDa haT ke
dasht aur dar se dur
hijr visal ki zad se bahar
raat aur din ke par
kabhi fursat se mil yar
tan ki miTTi jhaD de
man mandir ki khiDki khol
aawazon ke jangal mein
kabhi chup ki boli bol
meri aankh ke darpan mein
dekh apna rup sarup
mere ishq ke gahne se
kabhi apna aap sanwar
kabhi fursat se mil yar
kabhi apne aap se bahar aa
Tuk baiTh hamare sath
chal dukh dariya ke par chalen
la hath mein de de hath
hum apna hona tyag ke
tere hone par tayyar
kabhi fursat se mil yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.