KHwahish
maiñ jab bhī akelā hotā huuñ
dil merā mujh se kahtā hai
ai kaash tū chupke se aa kar
apne nāzuk hāthoñ se
merī in āñkhoñ ko band kare
maiñ jaan ke bhī anjān banūñ
kuchh naam yūñhī be-ma.anī se
begāne se
ginvā Dālūñ
tū aañkh mirī khole na kabhī
jab tak maiñ terā naam na luuñ
maiñ naam na luuñ
main jab bhi akela hota hun
dil mera mujh se kahta hai
ai kash tu chupke se aa kar
apne nazuk hathon se
meri in aankhon ko band kare
main jaan ke bhi anjaan banun
kuchh nam yunhi be-mani se
begane se
ginwa Dalun
tu aankh meri khole na kabhi
jab tak main tera nam na lun
main nam na lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.