KHwahish
mujhe vo ḳhauf thā
ki jis se koī bhī bachā nahīñ
vahī to ik savāl thā
ki jis savāl kā javāb
aaj tak
kisī ko bhī milā nahīñ
bas us ke jism-o-jāñ ke be-kanār
pāniyoñ meñ pair ne kā bhuut
sar pe yuuñ savār thā
aur aisā intizār thā
ki ek ek pal jo kaT rahā thā
baar thā
ye sab jahān thā fuzūl
gard thā ġhubār thā
mujhe wo KHauf tha
ki jis se koi bhi bacha nahin
wahi to ek sawal tha
ki jis sawal ka jawab
aaj tak
kisi ko bhi mila nahin
bas us ke jism-o-jaan ke be-kanar
paniyon mein pair ne ka bhut
sar pe yun sawar tha
aur aisa intizar tha
ki ek ek pal jo kaT raha tha
bar tha
ye sab jahan tha fuzul
gard tha ghubar tha
- Book : Ishq ki taqveem me.n (Pg. 53)
- Author : HARIS KHALEEQ
- Publication : Hoori Nurani, Maktaba Daniyal, Victoria Chaimber 2 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.