KHwahish
nahīñ aaj cigarette nahīñ
aao us moḌ tak ho ke aa.eñ
vahīñ sāmne pul ke us paar
rastoñ ke jangal se pīchhe
vahīñ chal ke ik jāvedāñ qahqaha tum lagānā
chalo ye bhī achchhā rahā maiñ kahūñ
aur phir
tum se vāpas palaTne kā isrār karne lagūñ
so tum
muskurāne kī zinda adākārī karte hue lauT aanā
lauT aanā
nahin aaj cigarette nahin
aao us moD tak ho ke aaen
wahin samne pul ke us par
raston ke jangal se pichhe
wahin chal ke ek jawedan qahqaha tum lagana
chalo ye bhi achchha raha main kahun
aur phir
tum se wapas palaTne ka israr karne lagun
so tum
muskurane ki zinda adakari karte hue lauT aana
lauT aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.