KHwahishen aur KHun
maiñ ne āshāoñ kī āñkheñ
chehre hoñT aur niile baazū
noch liye haiñ
un ke garm lahū se maiñ ne
apne haath bhigo Daale haiñ
dopahroñ kī taptī dhuup meñ
ḳhvāhisheñ apne jism uThā kar
chobī khiḌkī ke shīshoñ se
aksar jhāñktī rahtī haiñ
āñkheñ hoñT aur zaḳhmī baazū
jaane kyā kuchh mujh se kahte rahte haiñ
jaane kyā kuchh un se kahtā rahtā huuñ
raat ga.e tak zaḳhmī ḳhvāhisheñ
bistar kī ik ik silvaT se
nikal nikal kar rotī haiñ
aur sahar ko un ke ḳhuun se
apne haath bhigo letā huuñ
main ne aashaon ki aankhen
chehre honT aur nile bazu
noch liye hain
un ke garm lahu se main ne
apne hath bhigo Dale hain
dopahron ki tapti dhup mein
KHwahishen apne jism uTha kar
chobi khiDki ke shishon se
aksar jhankti rahti hain
aankhen honT aur zaKHmi bazu
jaane kya kuchh mujh se kahte rahte hain
jaane kya kuchh un se kahta rahta hun
raat gae tak zaKHmi KHwahishen
bistar ki ek ek silwaT se
nikal nikal kar roti hain
aur sahar ko un ke KHun se
apne hath bhigo leta hun
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.