KHwaja-sara
chhail chhabīlā
Thumak Thumak kar beach saḌak meñ
aatī jaatī har gaaḌī se
bhiik kī pūñjī uchak rahā hai
fiqre kaste collage ke nau-ḳhez javānoñ se hans hans kar
bāteñ kartā maTak rahā hai
chaurāhe kā ishāra be-sharmī se ghuur rahā hai
laal prānda lapak lapak kar
naqlī kūlhoñ ko mas kartā laTak rahā hai
ja.alī Dhalvānoñ se vo rañgīn dupaTTa
ek taraf ko Dhalak rahā hai
kaalī gaaḌī vaalā kitnī be-zārī se
haath ko us ke jhaTak rahā hai
pairoñ meñ ghuñgrū chhankātā
mardāna chehre par mal kar jhuuT kā ġhāza
nisvānī rañgoñ meñ luthḌā ek hayūlā
jism aur jins ke ghanchakkar meñ bhaTak rahā hai
ab vo thoḌā dam lene ko
zard ishāre ke saa.e meñ aa baiThā hai
zard ishāra afsurda hai
aaj bhī us se pūchh rahā hai
luule lañgḌe andhe bahre
kitne hī ma.azūr yahāñ par roz aate haiñ
tum kaise ma.azūr ho jis kī jins nahīñ hai
taish meñ aa kar vo kahtā hai
nahīñ nahīñ ye jhuuT hai bilkul
maiñ ik aadhā mard huuñ lekin
apnī aadhī jins kahīñ par kho baiThā huuñ
zard ishāre ta.ana-zan hai
gar tum aadhe mard the to phir
āḳhir tum ne aurat hī kā ruup kyoñ dhārā
zahr-ālūd nigāhoñ se vo zard ishāre ko taktā hai
aur tīkhe andāz meñ yuuñ goyā hotā hai
jins-zada logoñ meñ ghir kar zinda rahnā
kab āsāñ hai
aurat hī kā ruup hai jis se
havas ke maare in logoñ ko dilchaspī hai
aurat hī kī majbūrī kā mol lagā kar
in logoñ ko haz miltā hai
tum kyā jaano peT kā ye dozaḳh bharne ko
kaise ḳhud ko bech ke ye kāġhaz miltā hai
zard ishāra ro paḌtā hai
rote rote phir kahtā hai
ye batlāo itnī zillat aur hiqārat āḳhir kaise sah lete ho
sach kahnā aise bhī insān to hoñge
jin se tum ne
insāñ hone ke naate hī
kuchh to izzat paa.ī hogī
kajrārī āñkhoñ se poñchh ke apne aañsū
ik talḳhī se vo kahtā hai
ham se asfal be-tauqīroñ ko izz-o-takrīm se kyā hai
shukr ḳhudā kā muft kī sāñseñ milī huī haiñ
ham ko to itnā bhī ġhanīmat hai ki ham ne
apnī apnī an-dekhī maaoñ kī muqaddas
kokh meñ puure nau mahīne izzat paa.ī
sabz ishāra jal uTThā hai
duur kisī gaaḌī se ik aḳhbār kā TukḌā
beach saḌak meñ aan girā hai
sarkārī bhartī kī ik tash.hīr hai jis meñ
mard aur aurat donoñ hī ko ahl likhā hai
rauñd ke apne pair ke nīche
ye tahqīr-āmez tarāshā
chhail chhabīlā
Thumak Thumak kar beach saḌak meñ
aatī jaatī har gaaḌī se
bhiik kī pūñjī uchak rahā hai
chhail chhabila
Thumak Thumak kar beach saDak mein
aati jati har gaDi se
bhik ki punji uchak raha hai
fiqre kaste collage ke nau-KHez jawanon se hans hans kar
baaten karta maTak raha hai
chaurahe ka ishaara be-sharmi se ghur raha hai
lal pranda lapak lapak kar
naqli kulhon ko mas karta laTak raha hai
jali Dhalwanon se wo rangin dupaTTa
ek taraf ko Dhalak raha hai
kali gaDi wala kitni be-zari se
hath ko us ke jhaTak raha hai
pairon mein ghungru chhankata
mardana chehre par mal kar jhuT ka ghaza
niswani rangon mein luthDa ek hayula
jism aur jins ke ghanchakkar mein bhaTak raha hai
ab wo thoDa dam lene ko
zard ishaare ke sae mein aa baiTha hai
zard ishaara afsurda hai
aaj bhi us se puchh raha hai
lule langDe andhe bahre
kitne hi mazur yahan par roz aate hain
tum kaise mazur ho jis ki jins nahin hai
taish mein aa kar wo kahta hai
nahin nahin ye jhuT hai bilkul
main ek aadha mard hun lekin
apni aadhi jins kahin par kho baiTha hun
zard ishaare tana-zan hai
gar tum aadhe mard the to phir
aaKHir tum ne aurat hi ka rup kyon dhaara
zahr-alud nigahon se wo zard ishaare ko takta hai
aur tikhe andaz mein yun goya hota hai
jins-zada logon mein ghir kar zinda rahna
kab aasan hai
aurat hi ka rup hai jis se
hawas ke mare in logon ko dilchaspi hai
aurat hi ki majburi ka mol laga kar
in logon ko haz milta hai
tum kya jaano peT ka ye dozaKH bharne ko
kaise KHud ko bech ke ye kaghaz milta hai
zard ishaara ro paDta hai
rote rote phir kahta hai
ye batlao itni zillat aur hiqarat aaKHir kaise sah lete ho
sach kahna aise bhi insan to honge
jin se tum ne
insan hone ke nate hi
kuchh to izzat pai hogi
kajrari aankhon se ponchh ke apne aansu
ek talKHi se wo kahta hai
hum se asfal be-tauqiron ko izz-o-takrim se kya hai
shukr KHuda ka muft ki sansen mili hui hain
hum ko to itna bhi ghanimat hai ki hum ne
apni apni an-dekhi maon ki muqaddas
kokh mein pure nau mahine izzat pai
sabz ishaara jal uTTha hai
dur kisi gaDi se ek aKHbar ka TukDa
beach saDak mein aan gira hai
sarkari bharti ki ek tashhir hai jis mein
mard aur aurat donon hi ko ahl likha hai
raund ke apne pair ke niche
ye tahqir-amez tarasha
chhail chhabila
Thumak Thumak kar beach saDak mein
aati jati har gaDi se
bhik ki punji uchak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.