KHwatin ka bank
sunte haiñ shahr meñ jo ḳhvātīn kā hai bank
parvez kā nahīñ hai ye parvīn kā hai bank
rakkhī haiñ is liye yahāñ ḳhātūn manager
is mohkme ko chāhiye bātūn manager
ladies ittihād jo begānagī se hai
kyā jaane ḳhauf kyā unheñ mardāngī se hai
nok-e-zabāñ bhī chalne lagī hai zabāñ ke saath
beTī bhī hai sharīk laḌā.ī meñ maañ ke saath
har nāznīñ ke sāmne ik beauty-box hai
baaqī rakhā hai ghar meñ ye thoḌā sā aks hai
baiThī haiñ apne sāmne gesū sañvār ke
locker meñ rakh diyā hai dupaTTa utaar ke
chaTḳhāre haiñ zabāñ pe nazar meñ ishāre haiñ
har māh-vash ke pars meñ imlī kaTāre haiñ
jo baat kar rahī haiñ kamā.ī ke shobe kī
vo head haiñ lagā.ī-bujhā.ī ke shobe kī
kal saas se zabān ke bal par laḌī haiñ ye
ilm-e-lissniyāt meñ p.hd haiñ ye
khāte kī in ko fikr na ledger kī fikr hai
nandoñ kī ġhībateñ haiñ to devar kā zikr hai
shādī ke ba.ad nuqta banīñ dash ho ga.iiñ
pahle jo check-bōk thiiñ vo ab cash ho ga.iiñ
har nāznīñ kī umr bhī ḳhufiya account hai
kyā jaane in kī umr meñ kitnā amount hai
ye husn kā ḳhazāna koī kyā dabochegā
Daaku bhī Daaka Dālne se pahle sochegā
nākāra shauharoñ ko bhī debit karā.ī.e
nisvāniyat yahāñ se credit karā.ī.e
sunte hain shahr mein jo KHwatin ka hai bank
parwez ka nahin hai ye parwin ka hai bank
rakkhi hain is liye yahan KHatun manager
is mohkme ko chahiye baatun manager
ladies ittihad jo beganagi se hai
kya jaane KHauf kya unhen mardangi se hai
nok-e-zaban bhi chalne lagi hai zaban ke sath
beTi bhi hai sharik laDai mein man ke sath
har naznin ke samne ek beauty-box hai
baqi rakha hai ghar mein ye thoDa sa aks hai
baiThi hain apne samne gesu sanwar ke
locker mein rakh diya hai dupaTTa utar ke
chaTKHare hain zaban pe nazar mein ishaare hain
har mah-wash ke pars mein imli kaTare hain
jo baat kar rahi hain kamai ke shobe ki
wo head hain lagai-bujhai ke shobe ki
kal sas se zaban ke bal par laDi hain ye
ilm-e-lissniyat mein phd hain ye
khate ki in ko fikr na ledger ki fikr hai
nandon ki ghibaten hain to dewar ka zikr hai
shadi ke baad nuqta banin dash ho gain
pahle jo check-book thin wo ab cash ho gain
har naznin ki umr bhi KHufiya account hai
kya jaane in ki umr mein kitna amount hai
ye husn ka KHazana koi kya dabochega
Daku bhi Daka Dalne se pahle sochega
nakara shauharon ko bhi debit karaie
niswaniyat yahan se credit karaie
- Book : No Problem (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.