ki ab jo marhala hoga
yahī lagtā hai
ġhair-elāniya
kuchh nāravā elaan shāyad ho chukā hai
ye ik lamha
bahut sanjīdgī se sochne kā hai
ki is ke ba.ad
ab jo marhala hogā
kisī sim-sim ke khulne kā
na shāhoñ ke dafīne haath aane kā
na jashn-o-raqs kā hogā
bhayānak rūh-farsā marhala vo
yaqīnan
ashk-o-ḳhāk-o-ḳhūñ nahā.e shahar se
malba haTāne
aur ta.affun se bhare
tābūt hī Dhone kā hogā
yahi lagta hai
ghair-elaniya
kuchh narawa elan shayad ho chuka hai
ye ek lamha
bahut sanjidgi se sochne ka hai
ki is ke baad
ab jo marhala hoga
kisi sim-sim ke khulne ka
na shahon ke dafine hath aane ka
na jashn-o-raqs ka hoga
bhayanak ruh-farsa marhala wo
yaqinan
ashk-o-KHak-o-KHun nahae shahar se
malba haTane
aur taffun se bhare
tabut hi Dhone ka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.