ki dar guftan nami aayad
mirī jaañ go tujhe dil se bhulāyā jā nahīñ saktā
magar ye baat maiñ apnī zabāñ par lā nahīñ saktā
tujhe apnā banānā mojib-e-rāhat samajh kar bhī
tujhe apnā banā luuñ ye tasavvur lā nahīñ saktā
huā hai bār-hā ehsās mujh ko is haqīqat kā
tire nazdīk rah kar bhī maiñ tujh ko pā nahīñ saktā
mire dast-e-havas kī dastaras hai jism tak tere
samajhtā huuñ ki tere dil pe qabza pā nahīñ saktā
tire dil kī tamannā bhī karūñ to kis bharose par
maiñ ḳhud dargāh meñ terī ye tohfa lā nahīñ saktā
mirī majbūriyoñ ko bhī bahut kuchh daḳhl hai is meñ
tujhī ko morid-e-ilzām maiñ Thahrā nahīñ saktā
maiñ tujh se baḌh ke apnī aabrū ko pyaar kartā huuñ
maiñ apne izzat-o-nāmūs ko Thukrā nahīñ saktā
tire māhaul kī pastī kā ta.ana duuñ tujhe kyuuñ kar
maiñ ḳhud māhaul se apne rihā.ī pā nahīñ saktā
meri jaan go tujhe dil se bhulaya ja nahin sakta
magar ye baat main apni zaban par la nahin sakta
tujhe apna banana mojib-e-rahat samajh kar bhi
tujhe apna bana lun ye tasawwur la nahin sakta
hua hai bar-ha ehsas mujh ko is haqiqat ka
tere nazdik rah kar bhi main tujh ko pa nahin sakta
mere dast-e-hawas ki dastaras hai jism tak tere
samajhta hun ki tere dil pe qabza pa nahin sakta
tere dil ki tamanna bhi karun to kis bharose par
main KHud dargah mein teri ye tohfa la nahin sakta
meri majburiyon ko bhi bahut kuchh daKHl hai is mein
tujhi ko morid-e-ilzam main Thahra nahin sakta
main tujh se baDh ke apni aabru ko pyar karta hun
main apne izzat-o-namus ko Thukra nahin sakta
tere mahaul ki pasti ka tana dun tujhe kyun kar
main KHud mahaul se apne rihai pa nahin sakta
- Book : Kulliyat Gopal Mittal (Pg. 70)
- Author : Praim Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House, New Delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.