ki KHwab tha bas tumhaara aana
tumhārī āñkheñ ḳhushī kī ḳhvāhish liye huī thiiñ
tumhārī sochoñ meñ ahd-e-māzī kī silvaTeñ thiiñ
tumhāre gesū ghumartī ghirtī ghaTāoñ ke kuchh ghanere bādal bane hue the
qadam baḌhā.e nazar jhukā.e badan badan churā.e aa rahī thī
havā.eñ bhī gungunā rahī thiiñ
kalī kalī muskurā rahī thī
ḳhizāñ-rasīda chaman meñ jaise bahār chupke se aa rahī thī
magar achānak
ye ḳhvāb TuuTā to maiñ ne dekhā
ridā-e-shab pe koī sitārā nahīñ thā baaqī
jahāñ judā.ī ke saare lamhe gale mile the vahāñ mohabbat kī maañg bharne ko shabnam utrī
ḳhizāñ-rasīda badan-darīda vo shab-gazīda udaas lamhe!
ajiib vahshat jagā rahe the
vajūd se vo adam kī duniyā meñ jā rahe the
ki ḳhvāb thā bas tumhārā aanā
tumhaari aankhen KHushi ki KHwahish liye hui thin
tumhaari sochon mein ahd-e-mazi ki silwaTen thin
tumhaare gesu ghumarti ghirti ghaTaon ke kuchh ghanere baadal bane hue the
qadam baDhae nazar jhukae badan badan churae aa rahi thi
hawaen bhi gunguna rahi thin
kali kali muskura rahi thi
KHizan-rasida chaman mein jaise bahaar chupke se aa rahi thi
magar achanak
ye KHwab TuTa to main ne dekha
rida-e-shab pe koi sitara nahin tha baqi
jahan judai ke sare lamhe gale mile the wahan mohabbat ki mang bharne ko shabnam utri
KHizan-rasida badan-darida wo shab-gazida udas lamhe!
ajib wahshat jaga rahe the
wajud se wo adam ki duniya mein ja rahe the
ki KHwab tha bas tumhaara aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.