Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kichaD mein aTa mausam

Adil Mansuri

kichaD mein aTa mausam

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    pattharoñ par jamī huī nazreñ

    gāḌhā sayyāl lamha lamha ravāñ

    phailtī fazā meñ, naak saḌānñdh

    āsmāñ se baras rahe meñDak

    girte haiñ gir ke phir sambhalte haiñ

    gāḌhe sayyāl meñ phudakte haiñ

    aur sūraj surḳh ā.ankhoñ meñ

    kaa.ī parteñ jamtī jaatī haiñ

    band darvāze par sabā dastak

    koī aatā na koī jaatā hai

    band darvāza muskurātā hai

    pattharon par jami hui nazren

    gaDha sayyal lamha lamha rawan

    phailti bu faza mein, nak saDanndh

    aasman se baras rahe meinDak

    girte hain gir ke phir sambhalte hain

    gaDhe sayyal mein phudakte hain

    aur suraj ki surKH aaankhon mein

    kai ki parten jamti jati hain

    band darwaze par saba dastak

    koi aata na koi jata hai

    band darwaza muskuraata hai

    Source :
    • Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 67)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now