kiDe
mire kapḌoñ ko kiiḌe khā ga.e to maiñ ne ye sochā
mire nañge badan kā bhī yahī anjām honā hai
magar ye jaan kar maiñ kitnā ḳhush huuñ kitnā āsūda
ki merī ruuh merā zehn
aur afkār-o-ehsāsāt haiñ
mahfūz kīḌoñ se
mujhe un kā ḳhayāl aatā hai
jin kī ruuh ko aur zehn ko
chāTā hai kīḌoñ ne
chhupānā chāhte haiñ jo libās-e-fāḳhira meñ an-ginat kiiḌe
dabānā chāhte haiñ itr kī ḳhushbū se jo bātin kī badbū meñ
jinheñ kīḌoñ ne kiiḌā kar diyā hai
lekin
nazar aate haiñ jo ab bhī hameñ insān kī sūrat
ki haiñ kuchh aur din
un ke libās un ke badan
mahfūz kīḌoñ se
vo din nazdīk hai jab un par zahrīlī davā chhiḌkeñge
nasl-e-nau ke dānish-var
mere kapDon ko kiDe kha gae to main ne ye socha
mere nange badan ka bhi yahi anjam hona hai
magar ye jaan kar main kitna KHush hun kitna aasuda
ki meri ruh mera zehn
aur afkar-o-ehsasat hain
mahfuz kiDon se
mujhe un ka KHayal aata hai
jin ki ruh ko aur zehn ko
chaTa hai kiDon ne
chhupana chahte hain jo libas-e-faKHira mein an-ginat kiDe
dabana chahte hain itr ki KHushbu se jo baatin ki badbu mein
jinhen kiDon ne kiDa kar diya hai
lekin
nazar aate hain jo ab bhi hamein insan ki surat
ki hain kuchh aur din
un ke libas un ke badan
mahfuz kiDon se
wo din nazdik hai jab un par zahrili dawa chhiDkenge
nasl-e-nau ke danish-war
- Book : siip (Magzin) (Pg. 161)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.