kin sochon mein Dube ho
haañ
maiñ usī paanī kī buuñd huuñ
jo tumhāre kamre ke kone meñ paḌī
surāhī meñ rahtā thā āḳhir-kār
tumhārā samundar
na jaane kitne dariyāoñ kā
pyāsā thā aur
jag jag phirtā thā
maiñ
har shaam
surāhī kī hadeñ paar kartī
tumhāre hoñT
tarāvat ke zā.iqe lete
jag jag phirne kī
thakan miT jaatī
par har jag se laayā gayā gyaan
tumheñ svayam bhagvān banā gayā
phir tumhāre
pathrīle haath uThe
kone meñ paḌī surāhī
toḌ baiThe aur
choT
paanī ko lagī
buuñd buuñd dard se taḌap uThī
sar paTakne lagī
tum apnī sūkhī aatmā ko le chalo yahāñ se
kin sochoñ meñ Duube ho
maiñ usī paanī kī buuñd huuñ
han
main usi pani ki bund hun
jo tumhaare kamre ke kone mein paDi
surahi mein rahta tha aaKHir-kar
tumhaara samundar
na jaane kitne dariyaon ka
pyasa tha aur
jag jag phirta tha
main
har sham
surahi ki haden par karti
tumhaare honT
tarawat ke zaiqe lete
jag jag phirne ki
thakan miT jati
par har jag se laya gaya gyan
tumhein swayam bhagwan bana gaya
phir tumhaare
pathrile hath uThe
kone mein paDi surahi
toD baiThe aur
choT
pani ko lagi
bund bund dard se taDap uThi
sar paTakne lagi
tum apni sukhi aatma ko le chalo yahan se
kin sochon mein Dube ho
main usi pani ki bund hun
- Book : Man Baani (Pg. 324)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Maktaba istiara 248, Gaffar Apartment, Gaffar Manzil istiara Lane, Jamia Nagar, Okhla (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.