kirae ka makan
Interesting Fact
(Note: Mention of a rented house would be incomplete without the mention of rats- Socrates)
ajab shai hai kirā.e kā makāñ bhī
makāñ bhī hai ye zālim lā-makāñ bhī
baḌī ujlat meñ banvāyā gayā hai
la.ī se chhat ko chipkāyā gayā hai
hai vaaq.e ek naalī ke kināre
mayassar haiñ mujhe kyā kyā nazāre
nazīr un kī jahān-e-ḳhvāb meñ hai
bahārāñ kī shab-e-mahtāb meñ hai
na kyoñ ho jism merā ranj se chuur
faqat do miil hai ye shahr se duur
yahāñ āb-o-havā kā masḳh chehra
milā hargiz na mauqa dekhne kā
ham aapas meñ bahut ghul-mil ga.e haiñ
mujhe jeboñ meñ chamgādaḌ mile haiñ
haiñ bām-o-dar pe ye ġhārat-gar-e-hosh
bahār-e-bistar-o-nau-roz-e-āġhosh
hamārī ab ye hālat ho ga.ī hai
añdheroñ se mohabbat ho ga.ī hai
yahāñ din ko bhī ullū bolte haiñ
mire kānoñ meñ amras gholte haiñ
jo duniyā meñ haiñ ye kīḌe-makoḌe
yahīñ pal kar javāñ hote haiñ saare
ġhubār-ālūd yuuñ merī jabīñ hai
kahīñ sīḌhī kahīñ kuchh bhī nahīñ hai
isī sīḌhī kā hai vo vāqi.a bhī
luḌhak kar mar ga.ī jo saas merī
yahāñ chūhoñ ke bil itne baḌe haiñ
ka.ī sābit qadam in meñ gire haiñ
mujhe bhī duur kī ik roz sūjhī
kisī bil ko maiñ khodūñ jī meñ aa.ī
jo khodā chashm-e-hairāñ ne ye dekhā
ki ik leader numā moTā sā chūhā
dabā.e muñh meñ ik ḳhāsa batāshā
mire moze pahan kar jā rahā thā
vahīñ ik chuhiyā aa niklī kahīñ se
Tapaktā naaz thā us kī jabīñ se
basā thā itr meñ har resha us kā
pare thā arsh se andesha us kā
bahut ban-Than ke niklī thī bichārī
miyāñ chūhe ne fauran aañkh maarī
nigāh-e-ġhair se sharmā ga.ī vo
miyāñ chūhe se phir Takrā ga.ī vo
mile yuuñ tālib-o-matlūb bāham
majāzī ishq kā lahrāyā parcham
ġharaz chūhe qayāmat Dhā rahe haiñ
dar-o-dīvār par mañDlā rahe haiñ
maiñ laayā thā kahīñ se ek billī
pakaḌ kar le ga.e chūhe use bhī
ajab shai hai kirae ka makan bhi
makan bhi hai ye zalim la-makan bhi
baDi ujlat mein banwaya gaya hai
lai se chhat ko chipkaya gaya hai
hai waqe ek nali ke kinare
mayassar hain mujhe kya kya nazare
nazir un ki jahan-e-KHwab mein hai
bahaaran ki shab-e-mahtab mein hai
na kyon ho jism mera ranj se chur
faqat do mil hai ye shahr se dur
yahan aab-o-hawa ka masKH chehra
mila hargiz na mauqa dekhne ka
hum aapas mein bahut ghul-mil gae hain
mujhe jebon mein chamgadaD mile hain
hain baam-o-dar pe ye ghaarat-gar-e-hosh
bahaar-e-bistar-o-nau-roz-e-aghosh
hamari ab ye haalat ho gai hai
andheron se mohabbat ho gai hai
yahan din ko bhi ullu bolte hain
mere kanon mein amras gholte hain
jo duniya mein hain ye kiDe-makoDe
yahin pal kar jawan hote hain sare
ghubar-alud yun meri jabin hai
kahin siDhi kahin kuchh bhi nahin hai
isi siDhi ka hai wo waqia bhi
luDhak kar mar gai jo sas meri
yahan chuhon ke bil itne baDe hain
kai sabit qadam in mein gire hain
mujhe bhi dur ki ek roz sujhi
kisi bil ko main khodun ji mein aai
jo khoda chashm-e-hairan ne ye dekha
ki ek leader numa moTa sa chuha
dabae munh mein ek KHasa batasha
mere moze pahan kar ja raha tha
wahin ek chuhiya aa nikli kahin se
Tapakta naz tha us ki jabin se
basa tha itr mein har resha us ka
pare tha arsh se andesha us ka
bahut ban-Than ke nikli thi bichaari
miyan chuhe ne fauran aankh mari
nigah-e-ghair se sharma gai wo
miyan chuhe se phir Takra gai wo
mile yun talib-o-matlub baham
majazi ishq ka lahraya parcham
gharaz chuhe qayamat Dha rahe hain
dar-o-diwar par manDla rahe hain
main laya tha kahin se ek billi
pakaD kar le gae chuhe use bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.