kiraya-dar
are aao
be-fikr ho ke aao
merī zindagī meñ
ghabrāo nahīñ
koī TūT-phūT nahīñ hogī tum se
aao to
dar-asl yahāñ kuchh baaqī hī nahīñ TūTne ko
haañ kuchh purāne ḳhvāboñ kī kircheñ haiñ
tumhāre aane tak saaf ho jā.eñgī
us ke ba.ad jo hogā sab tumhārā hī hogā
jaate vaqt jo kuchh salāmat bache
le jaanā
ḳhvāboñ kī kircheñ gar rah ga.iiñ tumhāre ba.ad to sameT ke rakh denā mere hoñThoñ pe
muskurāhaToñ meñ bāñdh ke
are aao
be-fikr ho ke aao
meri zindagi mein
ghabrao nahin
koi TuT-phuT nahin hogi tum se
aao to
dar-asl yahan kuchh baqi hi nahin TuTne ko
han kuchh purane KHwabon ki kirchen hain
tumhaare aane tak saf ho jaengi
us ke baad jo hoga sab tumhaara hi hoga
jate waqt jo kuchh salamat bache
le jaana
KHwabon ki kirchen gar rah gain tumhaare baad to sameT ke rakh dena mere honThon pe
muskurahaTon mein bandh ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.