kiran se ek mukalima
añdherā DaañT kar bolā
suno sūraj kī ai nannhī kiran
ab ghar chalī jaao
tumhārī rājdhānī par
hukūmat ab mirī hogī
kiran ne muskurā kar
dev-qāmat aur pur-haibat
añdhere par nazar Daalī
tahammul se yaqīñ aur hausle ko
bhar ke apne narm lahje meñ kahā
dekho chalī to jā.ūñgī lekin
har ik dil meñ rahūñgī
ik na.ī ummīd kī sūrat
har ik ghar meñ milūñgī
tum se laḌtā ik diyā ban kar
sitāroñ se kabhī chhalkūñgī
un kī raushnī ban kar
kabhī maiñ chāñd se niklūñgī
us kī chāñdnī ban kar
suno
maiñ jā ke bhī maujūd hūñgī
aur tum
maujūd ho kar bhī nahīñ hoge
andhera DanT kar bola
suno suraj ki ai nannhi kiran
ab ghar chali jao
tumhaari rajdhani par
hukumat ab meri hogi
kiran ne muskura kar
dew-qamat aur pur-haibat
andhere par nazar Dali
tahammul se yaqin aur hausle ko
bhar ke apne narm lahje mein kaha
dekho chali to jaungi lekin
har ek dil mein rahungi
ek nai ummid ki surat
har ek ghar mein milungi
tum se laDta ek diya ban kar
sitaron se kabhi chhalkungi
un ki raushni ban kar
kabhi main chand se niklungi
us ki chandni ban kar
suno
main ja ke bhi maujud hungi
aur tum
maujud ho kar bhi nahin hoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.