TukḌā ik nazm kā
din bhar merī sāñsoñ meñ saraktā hī rahā
lab pe aayā to zabāñ kaTne lagī
daañt se pakḌā to lab chhilne lage
na to pheñkā hī gayā muñh se, na niglā hī gayā
kāñch kā TukḌā aTak jaa.e halaq meñ jaise
TukḌā vo nazm kā sāñsoñ meñ saraktā hī rahā
TukDa ek nazm ka
din bhar meri sanson mein sarakta hi raha
lab pe aaya to zaban kaTne lagi
dant se pakDa to lab chhilne lage
na to phenka hi gaya munh se, na nigla hi gaya
kanch ka TukDa aTak jae halaq mein jaise
TukDa wo nazm ka sanson mein sarakta hi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.