kirdar
dekho, ham sab ek safed kañval par
Tek lagā.e tair rahe haiñ
aur mahsūs ye karte haiñ ki ham ne ḳhud ko
nāf-e-zamīñ se mazbūtī se bāñdh rakhā hai
apnī har ḳhvāhish ko ham ne
qatl kiyā hai
taaki dil meñ koī tamannā sar na uThāne paa.e
zehn meñ koī nayā ḳhayāl agar dar aatā hai
to ham is par
ḳhud apne hāthoñ chūnā kar dete haiñ
koī rauzan
taaza havā ke phāñkne ko gar khultā hai
to kīchaḌ se bhar dete haiñ
dekho, hum sab ek safed kanwal par
Tek lagae tair rahe hain
aur mahsus ye karte hain ki hum ne KHud ko
naf-e-zamin se mazbuti se bandh rakha hai
apni har KHwahish ko hum ne
qatl kiya hai
taki dil mein koi tamanna sar na uThane pae
zehn mein koi naya KHayal agar dar aata hai
to hum is par
KHud apne hathon chuna kar dete hain
koi rauzan
taza hawa ke phankne ko gar khulta hai
to kichaD se bhar dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.