kirnon ka sandesa
pūrab vaalo sūraj bhejo
pūrab vaalo sukh kā sūraj bhejo
dekho dhartī bāñjh huī hai
sabz sunahre ruup kā kañgan
dhuup kā kañgan
raakh huā hai
sard dhueñ meñ shīshe kī dīvār ke pīchhe
be-kaifī kī mayyat par
pahle be-ghar patte naach rahe haiñ
pūrab vaalo der na karnā
der lagī to ro ro kar
ākāsh dulhan kī saarī āñkheñ
rim-jhim rim-jhim bah jā.eñgī
der na karnā
aane vaale raushan kal kī kundan ghaḌiyāñ
sirf tumhāre sirf tumhāre bas meñ haiñ
pūrab vaalo kirnoñ kā sandesa bhejo
sūraj bhejo
purab walo suraj bhejo
purab walo sukh ka suraj bhejo
dekho dharti banjh hui hai
sabz sunahre rup ka kangan
dhup ka kangan
rakh hua hai
sard dhuen mein shishe ki diwar ke pichhe
be-kaifi ki mayyat par
pahle be-ghar patte nach rahe hain
purab walo der na karna
der lagi to ro ro kar
aakash dulhan ki sari aankhen
rim-jhim rim-jhim bah jaengi
der na karna
aane wale raushan kal ki kundan ghaDiyan
sirf tumhaare sirf tumhaare bas mein hain
purab walo kirnon ka sandesa bhejo
suraj bhejo
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 491)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.