kirshn-chandr
abhī to fōtpath ke makīnoñ kī qismatoñ meñ
gharoñ ke sapne haiñ nā-mukammal
abhī to raste tavīl haiñ
raah meñ gaDDhe haiñ
abhī to jangeñ haiñ
sarhadeñ haiñ
muhājrat hai
abhī to zātoñ kā devtā muskurā rahā hai
abhī shikasteñ haiñ chār-jānib
abhī mohabbat barahna-pā hai
abhī hai shahr-e-butāñ kā markaz
bahut sā resham
bahut sī chāñdī
bahut sā sonā
abhī to insān tul rahā hai
abhī havā.eñ jilā-vatan haiñ
abhī hai ḳhushbū gurez-pā
kohar hai dhuāñ hai
abhī surañgeñ haiñ lambī lambī
aur un surañgoñ ke paar kyā hai
kise patā hai
ki ab vo āñkheñ nahīñ rahīñ jin meñ raushnī thī
abhi to footpath ke makinon ki qismaton mein
gharon ke sapne hain na-mukammal
abhi to raste tawil hain
rah mein gaDDhe hain
abhi to jangen hain
sarhaden hain
muhajrat hai
abhi to zaton ka dewta muskura raha hai
abhi shikasten hain chaar-jaanib
abhi mohabbat barahna-pa hai
abhi hai shahr-e-butan ka markaz
bahut sa resham
bahut si chandi
bahut sa sona
abhi to insan tul raha hai
abhi hawaen jila-watan hain
abhi hai KHushbu gurez-pa
kohar hai dhuan hai
abhi surangen hain lambi lambi
aur un surangon ke par kya hai
kise pata hai
ki ab wo aankhen nahin rahin jin mein raushni thi
- Book : Roop Hazar (Pg. 30)
- Author : Mah-e-talat Zahidi
- Publication : kitab Ghar, Hasan Arcade(Sadar) Multan (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.