kirya karm
sar-e-bazm ham ye sitam dekhte haiñ
hamārī taraf aap kam dekhte haiñ
jo miltā hai saaqī ke ruḳh kā pasīna
na taaḌī na whiskey na rum dekhte haiñ
na dekhe kisī ne achhūte vo jalve
in āñkhoñ se terī qasam dekhte haiñ
chaleñ sīdhe raste ye kyā naujavāñ dil
tirī zulf meñ pech-o-ḳham dekhte haiñ
sar-e-ġhair pā-posh se hai safāchaT
mohabbat kā kiryā karam dekhte haiñ
ḳhushī ġham junūñ hijr gor-e-ġharībāñ
mohabbat ke itne janam dekhte haiñ
lagāte haiñ dil baad meñ ye hasīn ab
ki jeboñ meñ pahle raqam dekhte haiñ
zarīf-e-suḳhan-sanj naġhma-sarā hai
ye urdu kā faiz-e-karam dekhte haiñ
sar-e-bazm hum ye sitam dekhte hain
hamari taraf aap kam dekhte hain
jo milta hai saqi ke ruKH ka pasina
na taDi na whiskey na rum dekhte hain
na dekhe kisi ne achhute wo jalwe
in aankhon se teri qasam dekhte hain
chalen sidhe raste ye kya naujawan dil
teri zulf mein pech-o-KHam dekhte hain
sar-e-ghair pa-posh se hai safachaT
mohabbat ka kirya karam dekhte hain
KHushi gham junun hijr gor-e-ghariban
mohabbat ke itne janam dekhte hain
lagate hain dil baad mein ye hasin ab
ki jebon mein pahle raqam dekhte hain
zarif-e-suKHan-sanj naghma-sara hai
ye urdu ka faiz-e-karam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.