kis ke sheron mein kis ki baaten hain
merī likhne meñ umr guzrī hai
terī paḌhne kī umr hai laḌkī
terī sochoñ kī sab ḳhabar hai mujhe
mujh pe ye vaqt aa ke biit chukā
maiñ bhī ḳhud se savāl kartā thā
kis kī ġhazloñ meñ kis ke jalve haiñ
kis kā chehra hai kis kī nazmoñ meñ
kaun rotā hai kis ke lahje meñ
kis ke sheroñ meñ kis kī bāteñ haiñ
phir javābāt mil ga.e mujh ko
ab hañsī aatī hai savāloñ par
aur tujh par bhī aur ḳhud par bhī
tujhe ma.alūm kyā ki ik aamad
kitne jazboñ se hāmila ho kar
leT kar ek besvā kī tarah
kore kāġhaz ke sard bistar par
vo harāmī kalām jantī hai
jis pe fatve faqīh-e-shahr ke haiñ
jo ḳhudāoñ ko gaalī lagtā hai
jis pe raj.at-pasand kuḌhte haiñ
jis pe jiddat-parast hañste haiñ
jis kā ThaTThā uḌāte haiñ lauñDe
jis ke fan kā zamāna biit gayā
jis se nafrat hai ilm vāloñ ko
jis pe ḳhud mujh ko ġhussa aatā hai
jise tū bhī samajh nahīñ paatī
naam apnā khurach ke jis par se
maiñ ne raddī meñ bārhā bechā
aur cigarette ḳharīde apne liye
aur is dil ko aag meñ phūñkā
jis ke jazboñ se hāmila ho kar
kore kāġhaz ke sard bistar par
leT kar ek besvā kī tarah
merī qudrat kī shāhkār aamad
vo harāmī kalām jannatī hai
terī sochoñ kī sab ḳhabar hai mujhe
mere sheroñ meñ kaun hai mat soch
terī paḌhne kī umr hai laḌkī
aur phir sochne se kyā hāsil
bārvar justujū huī bhī to kyā
merī ġhazloñ meñ tū huī bhī to kyā
meri likhne mein umr guzri hai
teri paDhne ki umr hai laDki
teri sochon ki sab KHabar hai mujhe
mujh pe ye waqt aa ke bit chuka
main bhi KHud se sawal karta tha
kis ki ghazlon mein kis ke jalwe hain
kis ka chehra hai kis ki nazmon mein
kaun rota hai kis ke lahje mein
kis ke sheron mein kis ki baaten hain
phir jawabaat mil gae mujh ko
ab hansi aati hai sawalon par
aur tujh par bhi aur KHud par bhi
tujhe malum kya ki ek aamad
kitne jazbon se hamila ho kar
leT kar ek beswa ki tarah
kore kaghaz ke sard bistar par
wo harami kalam janti hai
jis pe fatwe faqih-e-shahr ke hain
jo KHudaon ko gali lagta hai
jis pe rajat-pasand kuDhte hain
jis pe jiddat-parast hanste hain
jis ka ThaTTha uDate hain launDe
jis ke fan ka zamana bit gaya
jis se nafrat hai ilm walon ko
jis pe KHud mujh ko ghussa aata hai
jise tu bhi samajh nahin pati
nam apna khurach ke jis par se
main ne raddi mein barha becha
aur cigarette KHaride apne liye
aur is dil ko aag mein phunka
jis ke jazbon se hamila ho kar
kore kaghaz ke sard bistar par
leT kar ek beswa ki tarah
meri qudrat ki shahkar aamad
wo harami kalam jannati hai
teri sochon ki sab KHabar hai mujhe
mere sheron mein kaun hai mat soch
teri paDhne ki umr hai laDki
aur phir sochne se kya hasil
barwar justuju hui bhi to kya
meri ghazlon mein tu hui bhi to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.