kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost

kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
na sunā mujh ko tū paiġhām-e-mohabbat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
zindagī silsila-e-soz-e-jigar hai ai dost
aaj āfāt se bechain bashar hai ai dost
jis ko dekho vahī bā-dīda-e-tar hai ai dost
roz aatī hai na.ī ek qayāmat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
qaht aur jang ne insāñ ko kiyā apnā shikār
nafsī-nafsī hai paḌī kaun ho kis kā ġham-ḳhvār
'arsa-e-dahr meñ har aan hai jiinā dushvār
zindagī aaj hai gahvāra-e-āfat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
agle din vo na rahe aur vo zamāna na rahā
chaar tinkoñ kā bhī gulshan meñ Thikāna na rahā
koī sāthī na rahā apnā yagāna na rahā
na sunā tū abhī paiġhām-e-masarrat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
dekh vo dekh sisaktī huī rūhoñ kī qatār
us taraf dekh vo lāshoñ kā lagā hai ambār
bhuuk se dekh vo be-tāb haiñ sīmīñ ruḳhsār
qaht ke bhes meñ aa.ī hai qayāmat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
hai abhī teġh kī dhāroñ se guzarnā baaqī
aur nāmūs-e-vatan par bhī hai marnā baaqī
vaqt thoḌā hai bahut kaam hai karnā baaqī
de na mujh ko tū naved-e-shab-e-‘ishrat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
mutma.in hone de aur dil ko sañbhal jaane de
jo ghaḌī aa.ī hai sar par use Tal jaane de
aur taqdīr-e-vatan ko bhī badal jaane de
na sunā tū abhī paiġhām-e-mohabbat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdīd-e-mohabbat ai dost
na suna mujh ko tu paigham-e-mohabbat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
zindagi silsila-e-soz-e-jigar hai ai dost
aaj aafat se bechain bashar hai ai dost
jis ko dekho wahi ba-dida-e-tar hai ai dost
roz aati hai nai ek qayamat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
qaht aur jang ne insan ko kiya apna shikar
nafsi-nafsi hai paDi kaun ho kis ka gham-KHwar
'arsa-e-dahr mein har aan hai jina dushwar
zindagi aaj hai gahwara-e-afat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
agle din wo na rahe aur wo zamana na raha
chaar tinkon ka bhi gulshan mein Thikana na raha
koi sathi na raha apna yagana na raha
na suna tu abhi paigham-e-masarrat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
dekh wo dekh sisakti hui ruhon ki qatar
us taraf dekh wo lashon ka laga hai ambar
bhuk se dekh wo be-tab hain simin ruKHsar
qaht ke bhes mein aai hai qayamat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
hai abhi tegh ki dhaaron se guzarna baqi
aur namus-e-watan par bhi hai marna baqi
waqt thoDa hai bahut kaam hai karna baqi
de na mujh ko tu nawed-e-shab-e-‘ishrat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
mutmain hone de aur dil ko sanbhal jaane de
jo ghaDi aai hai sar par use Tal jaane de
aur taqdir-e-watan ko bhi badal jaane de
na suna tu abhi paigham-e-mohabbat ai dost
kis ko hai fursat-e-tajdid-e-mohabbat ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.