kis se kahiye dil kei baat
kis se kahiye dil keī baat
apnī izzat apne haat
tum bin suune haiñ yuuñ din
jaise bol rahī ho raat
kaisī shādī kaisā ġham
apne apne mahsūsāt
ishq hai ye kuchh khel nahīñ
kis kī maat aur kaisī maat
dekh chukā huuñ hashr kā din
kaaT chukā huuñ hijr kī raat
har ilzām mujhe taslīm
apne dil par rakhiye haat
lauTe haiñ rātoñ ke din
chamkī hai saaqī barsāt
vaa.iz kā maz.hab 'fārūq'
jaisā mauqa vaisī baat
kis se kahiye dil kei baat
apni izzat apne hat
tum bin sune hain yun din
jaise bol rahi ho raat
kaisi shadi kaisa gham
apne apne mahsusat
ishq hai ye kuchh khel nahin
kis ki mat aur kaisi mat
dekh chuka hun hashr ka din
kaT chuka hun hijr ki raat
har ilzam mujhe taslim
apne dil par rakhiye hat
lauTe hain raaton ke din
chamki hai saqi barsat
waiz ka mazhab 'faruq'
jaisa mauqa waisi baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.