kis se puchhun
kis se pūchhūñ
jab bhī koī
nazm mukammal ho jaatī hai
mere andar
ek ḳhalā kyoñ
bhar jaatā hai
kyoñ mujh ko aisā lagtā hai
jaise mere ḳhvāb kisī ne chhīn liye haiñ
zaḳhmoñ ke mahtāb kisī ne chhīn liye haiñ
kis se pūchhūñ
nazm mukammal hote hī kyoñ
be-chehra yādoñ ke panchhī
dard ke mausam
mere badan se kyoñ hijrat karne lagte haiñ
mere andar tanhā.ī kā ḳhauf utarne lagtā hai kyoñ
kis se pūchhūñ
lamhe bhar kī taḳhlīqī lazzat kī ḳhātir
maiñ sadiyoñ ke ġham se apnī mahrūmī par
kyoñ raazī ho jaatā huuñ
kis se puchhun
jab bhi koi
nazm mukammal ho jati hai
mere andar
ek KHala kyon
bhar jata hai
kyon mujh ko aisa lagta hai
jaise mere KHwab kisi ne chhin liye hain
zaKHmon ke mahtab kisi ne chhin liye hain
kis se puchhun
nazm mukammal hote hi kyon
be-chehra yaadon ke panchhi
dard ke mausam
mere badan se kyon hijrat karne lagte hain
mere andar tanhai ka KHauf utarne lagta hai kyon
kis se puchhun
lamhe bhar ki taKHliqi lazzat ki KHatir
main sadiyon ke gham se apni mahrumi par
kyon raazi ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.