kis shan se jite the yahan KHwar hue kyun
'tāriq' kyā kabhī qaum kā nauha bhī likhoge
yā bas dar-e-daulat kā qasīda hī likhoge
angusht-numā.ī sadā aġhyār pe hogī
yā jurm kabhī koī tum apnā bhī likhoge
jo dil pe guzarte haiñ vo sadmāt likho ab
chhoḌo ye qasīda koī haq baat likho ab
kyuuñ apnī vafāoñ ke bharam TuuT rahe haiñ
kyuuñ ham pe hī ye zulm-o-sitam TuuT rahe haiñ
jis qaum kī mīrās the ye ilm-o-shujā.at
kyuuñ us pe hī shamshīr-o-qalam TuuT rahe haiñ
har zālim-o-zulmat ko haiñ matlūb hamī kyuuñ
sochā hai kabhī hote haiñ ma.atūb hamī kyuuñ
kuchh apnī tabāhī ke bhī asbāb likho ab
jis baab pe sharminda ho vo baab likho ab
maḳhdūsh haiñ kyuuñ mimbar-o-mehrāb likho ab
sone jo nahīñ dete haiñ vo ḳhvāb likho ab
sochā hai kabhī aaj ye hālat hai to kyuuñ hai
har-gām pe tahqīr hai zillat hai to kyuuñ hai
kal vaqt ke siine pe kaf-e-pā the hamāre
ye dasht-o-jabal aur ye dariyā the hamāre
ye saat samundar the ye sahrā the hamāre
qadmoñ tale mirrīḳh-o-surayyā the hamāre
tārīḳh faqat mahv-e-qasīda thī hamārī
girvīda-e-aḳhlāq-e-hamīda thī hamārī
ham hī to kabhī maut se the khelne vaale
the maqtal-o-zindāñ ke charāġhoñ ke ujāle
aur aaj ye jiine ke haiñ andāz nirāle
jaada hai na manzil hai na ab paaoñ meñ chhāle
ham apne zamīroñ kī tijārat meñ paḌe haiñ
kaasa liye bāzār-e-siyāsat meñ khaḌe haiñ
izzat ke sadāqat ke shahādat ke qasīde
aslāf ke kirdār kī azmat ke qasīde
bhūle hue baiThe haiñ shujā.at ke qasīde
ham paḌhne lage ahl-e-ra.ūnat ke qasīde
ab apnā zamīr apnā yaqīñ bech rahe haiñ
ham luqma-e-tar ke liye diiñ bech rahe haiñ
maqsūd jo ḳhush-nūdī-e-qātil hai hamārī
ham ḳhush haiñ ki kashtī sar-e-sāhil hai hamārī
uqbā kī tamannā kahāñ hāsil hai hamārī
kursī kī talab āḳhirī manzil hai hamārī
kis shaan se jiite the yahāñ ḳhaar hue kyuuñ
sochā hai kabhī hāshiya-bardār hue kyuuñ
'tariq' kya kabhi qaum ka nauha bhi likhoge
ya bas dar-e-daulat ka qasida hi likhoge
angusht-numai sada aghyar pe hogi
ya jurm kabhi koi tum apna bhi likhoge
jo dil pe guzarte hain wo sadmat likho ab
chhoDo ye qasida koi haq baat likho ab
kyun apni wafaon ke bharam TuT rahe hain
kyun hum pe hi ye zulm-o-sitam TuT rahe hain
jis qaum ki miras the ye ilm-o-shujaat
kyun us pe hi shamshir-o-qalam TuT rahe hain
har zalim-o-zulmat ko hain matlub hami kyun
socha hai kabhi hote hain matub hami kyun
kuchh apni tabahi ke bhi asbab likho ab
jis bab pe sharminda ho wo bab likho ab
maKHdush hain kyun mimbar-o-mehrab likho ab
sone jo nahin dete hain wo KHwab likho ab
socha hai kabhi aaj ye haalat hai to kyun hai
har-gam pe tahqir hai zillat hai to kyun hai
kal waqt ke sine pe kaf-e-pa the hamare
ye dasht-o-jabal aur ye dariya the hamare
ye sat samundar the ye sahra the hamare
qadmon tale mirriKH-o-surayya the hamare
tariKH faqat mahw-e-qasida thi hamari
girwida-e-aKHlaq-e-hamida thi hamari
hum hi to kabhi maut se the khelne wale
the maqtal-o-zindan ke charaghon ke ujale
aur aaj ye jine ke hain andaz nirale
jada hai na manzil hai na ab paon mein chhaale
hum apne zamiron ki tijarat mein paDe hain
kasa liye bazar-e-siyasat mein khaDe hain
izzat ke sadaqat ke shahadat ke qaside
aslaf ke kirdar ki azmat ke qaside
bhule hue baiThe hain shujaat ke qaside
hum paDhne lage ahl-e-raunat ke qaside
ab apna zamir apna yaqin bech rahe hain
hum luqma-e-tar ke liye din bech rahe hain
maqsud jo KHush-nudi-e-qatil hai hamari
hum KHush hain ki kashti sar-e-sahil hai hamari
uqba ki tamanna kahan hasil hai hamari
kursi ki talab aaKHiri manzil hai hamari
kis shan se jite the yahan KHar hue kyun
socha hai kabhi hashiya-bardar hue kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.