kisan
barahna jism pasīna meñ ġharq nange paañv
magar sukūn hai yuuñ dil meñ jaise ThanDī chhāñv
gehūñ ke khet se kuTiyā meñ apnī aayā hai
tasavvurāt kī duniyā meñ saath laayā hai
hai ik phaTī huī kambal ġharīb kāñdhoñ par
siyāh abr pe rah rah ke uTh rahī hai nazar
paḌā hai khet kā sāmān ek kone meñ
haiñ us kī ziist ke asrār pā ke khone meñ
nafas hai phūlī huī jaise phūñk bhaTTe kī
rakhī hai kaan pe biiḌī banā ke patte kī
lahū kī lahar sī hai mauj-zan pasīne meñ
baqā-e-dahr kā hai raaz us ke jiine meñ
har ek saañs hai us kī bahār-e-āzādī
ki us ġhulām kā dil hai dayār-e-āzādī
barahna jism pasina mein gharq nange panw
magar sukun hai yun dil mein jaise ThanDi chhanw
gehun ke khet se kuTiya mein apni aaya hai
tasawwuraat ki duniya mein sath laya hai
hai ek phaTi hui kambal gharib kandhon par
siyah abr pe rah rah ke uTh rahi hai nazar
paDa hai khet ka saman ek kone mein
hain us ki zist ke asrar pa ke khone mein
nafas hai phuli hui jaise phunk bhaTTe ki
rakhi hai kan pe biDi bana ke patte ki
lahu ki lahar si hai mauj-zan pasine mein
baqa-e-dahr ka hai raaz us ke jine mein
har ek sans hai us ki bahaar-e-azadi
ki us ghulam ka dil hai dayar-e-azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.