kisan
safed duudh sī ujlī kapās is kī hai
ye khet us ke haiñ shān-e-libās is kī hai
sukūñ kī niiñd hai maḳhmal kī ghaas is kī hai
ki phuul phuul meñ ḳhushbū hai baas is kī hai
mire vatan mire khetoñ kī shaan kyā kahne
har ek shahr ko shīr-o-shakar bhī detā hai
vahī kisān jo ḳhūn-e-jigar bhī detā hai
amīr-e-shahr ko vo sīm-o-zar bhī detā hai
ba-nām-e-ḳhosha-e-gandum guhar bhī detā hai
mire vatan mire khetoñ kī shaan kyā kahne
baġhair is ke nahīñ ān-bān dillī kī
isī ke naam se baaqī hai shaan dillī kī
ye mutma.in hī na hogā to kaisī shādābī
har ek samt añdhere tamām be-ḳhvābī
mire vatan mire khetoñ kī shaan kyā kahne
isī ke dam se ubhartī hai hind kī tasvīr
isī ke naam sañvartī hai hind kī taqdīr
tamām khet haiñ shādāb hind kī tafsīr
baġhair is ke nahīñ ḳhvāb-e-hind kī ta.abīr
mire vatan mire khetoñ kī shaan kyā kahne
bahār is meñ nahīñ hai to phir chaman kyā hai
ye gulsitāñ hī nahīñ hai to bāñkpan kyā hai
jo tarjumāñ na ho is kī to anjuman kyā hai
bayāñ isī kā nahīñ hai to phir suḳhan kyā hai
mire vatan mire khetoñ kī shaan kyā kahne
hukūmateñ bhī isī kī haiñ raaj bhī is kā
adālateñ bhī haiñ ye taḳht-o-tāj bhī is kā
har ek daur thā is kā ye aaj bhī is kā
badalte rangoñ se nikhrā samāj bhī is kā
mire vatan mire khetoñ kī shaan kyā kahne
safed dudh si ujli kapas is ki hai
ye khet us ke hain shan-e-libas is ki hai
sukun ki nind hai maKHmal ki ghas is ki hai
ki phul phul mein KHushbu hai bas is ki hai
mere watan mere kheton ki shan kya kahne
har ek shahr ko shir-o-shakar bhi deta hai
wahi kisan jo KHun-e-jigar bhi deta hai
amir-e-shahr ko wo sim-o-zar bhi deta hai
ba-nam-e-KHosha-e-gandum guhar bhi deta hai
mere watan mere kheton ki shan kya kahne
baghair is ke nahin aan-ban dilli ki
isi ke nam se baqi hai shan dilli ki
ye mutmain hi na hoga to kaisi shadabi
har ek samt andhere tamam be-KHwabi
mere watan mere kheton ki shan kya kahne
isi ke dam se ubharti hai hind ki taswir
isi ke nam sanwarti hai hind ki taqdir
tamam khet hain shadab hind ki tafsir
baghair is ke nahin KHwab-e-hind ki tabir
mere watan mere kheton ki shan kya kahne
bahaar is mein nahin hai to phir chaman kya hai
ye gulsitan hi nahin hai to bankpan kya hai
jo tarjuman na ho is ki to anjuman kya hai
bayan isi ka nahin hai to phir suKHan kya hai
mere watan mere kheton ki shan kya kahne
hukumaten bhi isi ki hain raj bhi is ka
adalaten bhi hain ye taKHt-o-taj bhi is ka
har ek daur tha is ka ye aaj bhi is ka
badalte rangon se nikhra samaj bhi is ka
mere watan mere kheton ki shan kya kahne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.