kise guman tha
kise gumāñ thā ki āsmāñ se zamīñ pe paiġhām aa sakeñge
payambaroñ kī jamā.atoñ meñ ham aadmī kā shumār hogā
kise gumāñ thā ki bādshāhoñ ke taḳht qadmoñ meñ aa gireñge
kise gumāñ thā ki mo.ajaze sab haqīqatoñ se dikhā.ī deñge
kise gumāñ thā mashīñ chalegī to ibn-e-ādam kā ḳhuuñ jalegā
kise gumāñ thā ki shāh-rāhoñ pe hashr jaisī hī bhiiḌ hogī
ham ajnabī se nikal paḌeñge kafan se apnā badan chhupā.e
hisāb lene hisāb dene ham ajnabī se nikal paḌeñge
kise gumāñ thā ki āsmāñ se zamīñ pe paiġhām aa sakeñge
kise guman tha ki aasman se zamin pe paigham aa sakenge
payambaron ki jamaaton mein hum aadmi ka shumar hoga
kise guman tha ki baadshahon ke taKHt qadmon mein aa girenge
kise guman tha ki moajaze sab haqiqaton se dikhai denge
kise guman tha mashin chalegi to ibn-e-adam ka KHun jalega
kise guman tha ki shah-rahon pe hashr jaisi hi bhiD hogi
hum ajnabi se nikal paDenge kafan se apna badan chhupae
hisab lene hisab dene hum ajnabi se nikal paDenge
kise guman tha ki aasman se zamin pe paigham aa sakenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.