kisī bhī samt chalā fāsle na ḳhatm hue
hamesha baḌhte rahe dhuul uḌā ke āñkhoñ meñ
jise qarīb samajhtā thā duur hotā gayā
sarā.e lagtī thī ik duur kī imārat thī
vahāñ pahuñch ke utārūñgā bojh kandhoñ se
aur sochā thā ik ġhusl le kar maiñ
falak ko oḌh ke so jā.ūñgā shab meñ
vahāñ pe pahuñchā to vo ret ke bagūle the
jo shohratoñ kī tarah aage aage chalte the
na paanī ġhusl ko thā na leT jaane ko bistar
sarā.e duur hī hotī ga.ī merī
kisī bhī samt chalā fāsle na ḳhatm hue
kisi bhi samt chala fasle na KHatm hue
hamesha baDhte rahe dhul uDa ke aankhon mein
jise qarib samajhta tha dur hota gaya
sarae lagti thi ek dur ki imarat thi
wahan pahunch ke utarunga bojh kandhon se
aur socha tha ek ghusl le kar main
falak ko oDh ke so jaunga shab mein
wahan pe pahuncha to wo ret ke bagule the
jo shohraton ki tarah aage aage chalte the
na pani ghusl ko tha na leT jaane ko bistar
sarae dur hi hoti gai meri
kisi bhi samt chala fasle na KHatm hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.