kisi ke samajhdar hone tak
qabr kyā DhūñDnā
miT ga.e hoñge us ke nishāñ
kahīñ bhī jalā kar lagā duuñ agarbattiyāñ
muddatoñ baa'd bhī
vird karte hue sūra-e-fātiha kā vahī guuñj kānoñ meñ hai
tirā baap kyā roz piitā hai
uf
vo jo sharmindagī kā sabab ho bhalā us se kaisī mohabbat
aur vaise bhī
ek bachche kī nafrat se sachchā koī aur jazba nahīñ
dafn ke vaqt bhī to maiñ dil meñ kahīñ un se nārāz thā
magar aaj ḳhud jab maiñ us 'umr meñ huuñ
jo paapā kī shāyad rahī hogī tab
jab maiñ rūThā thā un se
mire dil meñ ehsās-e-jurm aur sharmindagī ke sivā kuchh nahīñ
aap sun to rahe haiñ na paapā
mu'āfī mujhe chāhiye
kyā ye mumkin hai
phir ḳhud se kahtā huuñ shāyad nahīñ
vo ga.e
koī ruktā nahīñ hai kisī ke samajhdār hone talak
sach kī tah meñ utarne ke laa.iq gunahgār hone talak
qabr kya DhunDna
miT gae honge us ke nishan
kahin bhi jala kar laga dun agarbattiyan
muddaton ba'd bhi
wird karte hue sura-e-fatiha ka wahi gunj kanon mein hai
tera bap kya roz pita hai
uf
wo jo sharmindagi ka sabab ho bhala us se kaisi mohabbat
aur waise bhi
ek bachche ki nafrat se sachcha koi aur jazba nahin
dafn ke waqt bhi to main dil mein kahin un se naraaz tha
magar aaj KHud jab main us 'umr mein hun
jo papa ki shayad rahi hogi tab
jab main ruTha tha un se
mere dil mein ehsas-e-jurm aur sharmindagi ke siwa kuchh nahin
aap sun to rahe hain na papa
mu'afi mujhe chahiye
kya ye mumkin hai
phir KHud se kahta hun shayad nahin
wo gae
koi rukta nahin hai kisi ke samajhdar hone talak
sach ki tah mein utarne ke laiq gunahgar hone talak
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 121)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.