kisi ki sada
raat ke pur-kaif sannāTe meñ bansī kī sadā
chāñdnī ke sīm-gūñ shāne pe lahrātī huī
gūñjtī baḌhtī laraztī kohsāroñ ke qarīb
phailtī maidāñ meñ pagDanDī pe bal khātī huī
aa rahī hai is tarah jaise kisī kī yaad aa.e
niiñd meñ Duubī huī palkoñ ko uksātī huī
āsmānoñ meñ zamīñ kā giit lahrāne lagā
chhā gayā hai chāñd ke chehre pe ḳhiffat kā ġhubār
bazm-e-anjum kī har ek tanvīr dhundlī ho ga.ī
rakh diyā nāhīd ne jhuñjhlā ke hāthoñ se sitār
zarra zarra jhuum kar lene lagā añgḌā.iyāñ
kahkashāñ takne lagī hairat se sū-e-jū-e-bār
yuuñ fazāoñ meñ ravāñ hai ye sadā-e-dil-nashīñ
zehn-e-shā.ir meñ ho jaise ik achhūtā sā ḳhayāl
yā sahar ke sīm-gūñ ruḳhsār par pahlī kiran
surḳh hoñToñ se bichhā.e jis tarah bosoñ ke jaal
gaah thamtī gaah sannāTe kā siina chīrtī
yuuñ fazā meñ uTh ke ho jaatī hai maddham haa.e haa.e
shaam kī dhuñdhlāhaToñ meñ duur koī kārvāñ
kohsāroñ se utar kar jaise maidānoñ meñ aa.e
raat ke pur-kaif sannaTe mein bansi ki sada
chandni ke sim-gun shane pe lahraati hui
gunjti baDhti larazti kohsaron ke qarib
phailti maidan mein pagDanDi pe bal khati hui
aa rahi hai is tarah jaise kisi ki yaad aae
nind mein Dubi hui palkon ko uksati hui
aasmanon mein zamin ka git lahrane laga
chha gaya hai chand ke chehre pe KHiffat ka ghubar
bazm-e-anjum ki har ek tanwir dhundli ho gai
rakh diya nahid ne jhunjhla ke hathon se sitar
zarra zarra jhum kar lene laga angDaiyan
kahkashan takne lagi hairat se su-e-ju-e-bar
yun fazaon mein rawan hai ye sada-e-dil-nashin
zehn-e-shair mein ho jaise ek achhuta sa KHayal
ya sahar ke sim-gun ruKHsar par pahli kiran
surKH honTon se bichhae jis tarah boson ke jal
gah thamti gah sannaTe ka sina chirti
yun faza mein uTh ke ho jati hai maddham hae hae
sham ki dhundhlahaTon mein dur koi karwan
kohsaron se utar kar jaise maidanon mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.