kisi ki yaad ka chehra
kisī kī yaad kā chehra
mire vīrān ghar kī adh-khulī khiḌkī se
jo mujh ko bulātā hai
samay kī aañkh se TuuTā huā taarā
jo akasr raat kī palkoñ ke pīchhe jhilmilātā hai
use maiñ bhuul jā.ūñgī
mulā.em kāsnī lamha
kahīñ biite zamānoñ se nikal kar muskurātā hai
koī bhūlā huā naġhma
fazā meñ chupke chupke phail jaatā hai
bahut din se kisī ummīd kā saayā
kaThin rāhoñ meñ mere saath aatā hai
use maiñ bhuul jā.ūñgī
purānī Diary kī shoḳh tahrīroñ meñ
jo ik naam baaqī hai
kisī manzar kī ḳhushbū meñ rachī
jo rāhat-e-gumnām baaqī hai
adhūre naqsh kī takmīl kā
jitnā bhī jo bhī kaam baaqī hai
ye jitne diid ke lamhe
ye jitnī shaam baaqī hai
use maiñ bhuul jā.ūñgī
kisī kī yaad kā chehra
use maiñ bhuul jā.ūñgī
use maiñ bhuul jā.ūñgī
maiñ akasr sochtī to huuñ
magar vo yaad kā chehra!!
magar vo adh-khulī khiḌkī!!
kisi ki yaad ka chehra
mere viran ghar ki adh-khuli khiDki se
jo mujh ko bulata hai
samay ki aankh se TuTa hua tara
jo akasr raat ki palkon ke pichhe jhilmilata hai
use main bhul jaungi
mulaem kasni lamha
kahin bite zamanon se nikal kar muskuraata hai
koi bhula hua naghma
faza mein chupke chupke phail jata hai
bahut din se kisi ummid ka saya
kaThin rahon mein mere sath aata hai
use main bhul jaungi
purani Diary ki shoKH tahriron mein
jo ek nam baqi hai
kisi manzar ki KHushbu mein rachi
jo rahat-e-gumnam baqi hai
adhure naqsh ki takmil ka
jitna bhi jo bhi kaam baqi hai
ye jitne did ke lamhe
ye jitni sham baqi hai
use main bhul jaungi
kisi ki yaad ka chehra
use main bhul jaungi
use main bhul jaungi
main akasr sochti to hun
magar wo yaad ka chehra!!
magar wo adh-khuli khiDki!!
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.