kisi ko yaad kab hoga
kabhī tum ne
kisī chhoTe se bachche ko
sisakte niiñd meñ
bhīgī huī āñkhoñ se dekhā hai
kabhī pūchhā hai ḳhud se bhī
sabab is kā
kabhī sochā hai tum ne
kis liye ma.asūm rotā hai
kyuuñ āñkheñ band apnī jaan khotā hai
khubī tum ne bhī apne bachpane meñ
ḳhvāb bo.e the
kabhī sote meñ ro.e the
tumheñ bhī yaad kab hogā
sar-e-mizhgāñ sitāroñ kā chamaknā aur bikhar jaanā
ba-rū-e-barg-e-gul tahrīr afsāna
kabhi tum ne
kisi chhoTe se bachche ko
sisakte nind mein
bhigi hui aankhon se dekha hai
kabhi puchha hai KHud se bhi
sabab is ka
kabhi socha hai tum ne
kis liye masum rota hai
kyun aankhen band apni jaan khota hai
khubi tum ne bhi apne bachpane mein
KHwab boe the
kabhi sote mein roe the
tumhein bhi yaad kab hoga
sar-e-mizhgan sitaron ka chamakna aur bikhar jaana
ba-ru-e-barg-e-gul tahrir afsana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.