kitni bar bulaya usko
kitnī baar bulāyā us ko
lekin us ke lab larze
na āñkhoñ meñ pahchān kā kauñdā lahrāyā
bas ik pal ḳhālī nazreñ us ne
mujh par Dālīñ
aur palkoñ ke pīchhe jā kar
chup ke bhārī hujre meñ ārām kiyā
par mere hoñToñ se bahte
lafzoñ kā ik dhuul uḌātā shor
chhatoñ phir chhatnāroñ tak phail gayā
phir aur bhī uupar
tāroñ ke chhatoñ se jā kar lipaT gayā
phir aur bhī ūñchā uḌte uḌte
juḌe hue hoñToñ ke
us sañgam par pahuñchā
jis meñ koī darz nahīñ thī
kahīñ bhī koī shikan nahīñ thī
chup ke giile goñd se qāsheñ juḌī huī thiiñ
kitni bar bulaya us ko
lekin us ke lab larze
na aankhon mein pahchan ka kaunda lahraya
bas ek pal KHali nazren us ne
mujh par Dalin
aur palkon ke pichhe ja kar
chup ke bhaari hujre mein aaram kiya
par mere honTon se bahte
lafzon ka ek dhul uData shor
chhaton phir chhatnaron tak phail gaya
phir aur bhi upar
taron ke chhaton se ja kar lipaT gaya
phir aur bhi uncha uDte uDte
juDe hue honTon ke
us sangam par pahuncha
jis mein koi darz nahin thi
kahin bhi koi shikan nahin thi
chup ke gile gond se qashen juDi hui thin
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 159)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.