kiya kya ai sada tu ne bata aa kar zamane mein
kiyā kyā ai sadā tū ne batā aa kar zamāne meñ
guzārī zindagī saarī faqat pīne-pilāne meñ
agar thā phuul to kyoñ na bikherī har taraf ḳhushbū
agar ḳhas thā to kaam aatā kisī ke āshiyāne meñ
tujhe jalnā thā to jaltā charāġh-e-rāh ban kar tū
milā kyā hai butoñ ke 'ishq meñ dil ko jalāne meñ
kabhī poñchhe haiñ kyā tū ne kisī kī aañkh ke aañsū
rahā mashġhūl dāman kī safedī ko bachāne meñ
gila kartā rahā tū kātib-e-taqdīr se nāhaq
milā hai jo tujhe kitnoñ ko miltā hai zamāne meñ
farā.ez se sadā apne rahā tū be-ḳhabar lekin
kabhī chhoḌī na tū ne kasr haq apnā jatāne meñ
batā kis kaam ā.eñgī tirī ye daulateñ saarī
gañvā.ī zindagī apnī jinheñ tū ne juTāne meñ
kiye sau paap jin ke vāste nāhaq 'sadā' tū ne
hai kitnī koft dekh un ko tirī mayyat uThāne meñ
kiya kya ai sada tu ne bata aa kar zamane mein
guzari zindagi sari faqat pine-pilane mein
agar tha phul to kyon na bikheri har taraf KHushbu
agar KHas tha to kaam aata kisi ke aashiyane mein
tujhe jalna tha to jalta charagh-e-rah ban kar tu
mila kya hai buton ke 'ishq mein dil ko jalane mein
kabhi ponchhe hain kya tu ne kisi ki aankh ke aansu
raha mashghul daman ki safedi ko bachane mein
gila karta raha tu katib-e-taqdir se nahaq
mila hai jo tujhe kitnon ko milta hai zamane mein
faraez se sada apne raha tu be-KHabar lekin
kabhi chhoDi na tu ne kasr haq apna jatane mein
bata kis kaam aaengi teri ye daulaten sari
ganwai zindagi apni jinhen tu ne juTane mein
kiye sau pap jin ke waste nahaq 'sada' tu ne
hai kitni koft dekh un ko teri mayyat uThane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.