koh-e-nida
sub.h-savere
ek laraztī kāñptī sī āvāz aatī hai
sone vālo! tum mālik ko bhuul ga.e ho
tum mālik ko bhuul ga.e ho
phir chamkīlī mil kā sā.eran
ek ġhalīz Darāne vaalī tund sadā ke ruup meñ Dhal kar
dīvāroñ se Takrātā hai
aur galiyoñ ke
tañg añdhere baaḌe meñ kohrām machā kar
bheḌoñ ke galle ko haañk ke le jaatā hai
phir engine kī barham siiTī
meḳh sī ban kar mere kaan meñ gaḌ jaatī hai
aur shab bhar kī nuchī huī ik rail kī bogī
apnī kalā.ī engine ke panje meñ de kar
chal paḌtī hai
phir ik dam ik sannāTā sā chhā jaatā hai
aur maiñ ghaḌī kī zālim sūiyoñ kī Tik Tik meñ
din ke zard pahāḌ pe chaḌhne lagtā huuñ
subh-sawere
ek larazti kanpti si aawaz aati hai
sone walo! tum malik ko bhul gae ho
tum malik ko bhul gae ho
phir chamkili mil ka saeran
ek ghaliz Darane wali tund sada ke rup mein Dhal kar
diwaron se Takraata hai
aur galiyon ke
tang andhere baDe mein kohram macha kar
bheDon ke galle ko hank ke le jata hai
phir engine ki barham siTi
meKH si ban kar mere kan mein gaD jati hai
aur shab bhar ki nuchi hui ek rail ki bogi
apni kalai engine ke panje mein de kar
chal paDti hai
phir ek dam ek sannaTa sa chha jata hai
aur main ghaDi ki zalim suiyon ki Tik Tik mein
din ke zard pahaD pe chaDhne lagta hun
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 161)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.