kohar ke us par
kohar ke paar
aur duur kahīñ
kahkashāoñ kī pyaar bastī meñ
chāñd tāroñ kī phailī duniyā meñ
bādaloñ ke ravāñ jazīroñ meñ
kaun hogā jo rah rahā hogā
garche kuchh bhī nazar nahīñ aatā
hameñ phir bhī talāsh karnā hai
jo ki terī hasīn āñkhoñ meñ
jo ki mere bhī qalb-e-muztar meñ
roz jiitā hai roz martā hai
vahī ehsās kā ghanā saaya
zindagī ke tavīl raste par
roz ghaTtā hai roz baḌhtā hai
koī mere qarīñ nahīñ aatā
merī āñkheñ sarāb bastī kī
aise lagtā hai ho ga.iiñ aadī
phir mire dil ke phaile sahrā meñ
ek aahū ne apne zaḳhmoñ se
mausamoñ ke nahīf hāthoñ se
jañgaloñ ko payām bhejā hai
ki ye phailī huī siyah chādar
sirf vahm-o-gumāñ hai kuchh bhī nahīñ
aa mire saath ai mire hamdam
ham bhī is zau-fishāñ sitāre kī
chand kirnoñ se ik ziyā le kar
kohar ke paar aao
jā nikleñ
DhūñD leñ us safed bastī ko
jo hameñ ḳhulq-o-pyār bhī degī
chain-o-sukh bhī qarār bhī degī
ujle sach kā nikhār bhī degī
kohar ke par
aur dur kahin
kahkashaon ki pyar basti mein
chand taron ki phaili duniya mein
baadalon ke rawan jaziron mein
kaun hoga jo rah raha hoga
garche kuchh bhi nazar nahin aata
hamein phir bhi talash karna hai
jo ki teri hasin aankhon mein
jo ki mere bhi qalb-e-muztar mein
roz jita hai roz marta hai
wahi ehsas ka ghana saya
zindagi ke tawil raste par
roz ghaTta hai roz baDhta hai
koi mere qarin nahin aata
meri aankhen sarab basti ki
aise lagta hai ho gain aadi
phir mere dil ke phaile sahra mein
ek aahu ne apne zaKHmon se
mausamon ke nahif hathon se
jangalon ko payam bheja hai
ki ye phaili hui siyah chadar
sirf wahm-o-guman hai kuchh bhi nahin
aa mere sath ai mere hamdam
hum bhi is zau-fishan sitare ki
chand kirnon se ek ziya le kar
kohar ke par aao
ja niklen
DhunD len us safed basti ko
jo hamein KHulq-o-pyar bhi degi
chain-o-sukh bhi qarar bhi degi
ujle sach ka nikhaar bhi degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.