kohre ka khet
vo sard raat jabki safar kar rahā thā maiñ
rañgīniyoñ se zarf-e-nazar bhar rahā thā maiñ
tezī se jañgaloñ meñ uḌī jā rahī thī rail
ḳhvābīda kā.enāt ko chauñkā rahī thī rail
muḌtī uchhaltī kāñptī chiñghāḌtī huī
kohre kī vo dabīz ridā phāḌtī huī
pahiyoñ kī gardishoñ meñ machaltī thī rāgnī
aahan se aag ban ke nikaltī thī rāgnī
pahuñchī jidhar zamīñ kā kaleja hilā diyā
dāman meñ tīrgī ke garebāñ banā diyā
jhoñke havā ke barf bichhāte the raah meñ
jalve samā rahe the laraz kar nigāh meñ
dhoke se chhū ga.iiñ jo kahīñ sard uñgliyāñ
bichchhū sā Dañk mārne lagtī thiiñ khiḌkiyāñ
pichhle pahar kā narm dhuñdlakā thā pur-fishāñ
māyūsiyoñ meñ jaise umīdoñ kā kārvāñ
be-nūr ho ke Dūbne vaalā thā māhtāb
kohre meñ khup ga.ī thī sitāroñ kī āb-o-tāb
qabze se tīrgī ke sahar chhūTne ko thī
mashriq ke hāshiye meñ kiran phūTne ko thī
kohre meñ thā Dhake hue bāġhoñ kā ye samāñ
jis tarah zer-e-āb jhalaktī hoñ bastiyāñ
bhīgī huī zamīñ thī namī sī fazā meñ thī
ik kisht-e-barf thī ki muallaq havā meñ thī
jaadū ke farsh sehr ke sab saqf-o-bām the
dosh-e-havā pe pariyoñ ke sīmīñ ḳhiyām the
thī ThanDe ThanDe nuur meñ khoī huī nigāh
Dhal kar fazā meñ aa.ī thī hūroñ kī ḳhvāb-gāh
ban ban ke phen sū-e-falak dekhtā huā
dariyā chalā thā chhoḌ ke dāman zamīn kā
is shabnamī dhundalke meñ bagule the yuuñ ravāñ
maujoñ pe mast ho ke chaleñ jaise machhliyāñ
Daalā kabhī fazāoñ meñ ḳhat kho ga.e kabhī
jhalke kabhī ufuq meñ nihāñ ho ga.e kabhī
engine se uḌ ke kāñptā phirtā thā yuuñ dhuāñ
letā thā lahr khet meñ kohre ke āsmāñ
us vaqt kyā thā ruuh pe sadma na pūchhiye
yaad aa rahā thā kis se bichhaḌnā na pūchhiye
dil meñ kuchh aise ghaav the tīr-e-malāl ke
ro ro diyā thā khiḌkī se gardan nikāl ke
wo sard raat jabki safar kar raha tha main
ranginiyon se zarf-e-nazar bhar raha tha main
tezi se jangalon mein uDi ja rahi thi rail
KHwabida kaenat ko chaunka rahi thi rail
muDti uchhalti kanpti chinghaDti hui
kohre ki wo dabiz rida phaDti hui
pahiyon ki gardishon mein machalti thi ragni
aahan se aag ban ke nikalti thi ragni
pahunchi jidhar zamin ka kaleja hila diya
daman mein tirgi ke gareban bana diya
jhonke hawa ke barf bichhate the rah mein
jalwe sama rahe the laraz kar nigah mein
dhoke se chhu gain jo kahin sard ungliyan
bichchhu sa Dank marne lagti thin khiDkiyan
pichhle pahar ka narm dhundlaka tha pur-fishan
mayusiyon mein jaise umidon ka karwan
be-nur ho ke Dubne wala tha mahtab
kohre mein khup gai thi sitaron ki aab-o-tab
qabze se tirgi ke sahar chhuTne ko thi
mashriq ke hashiye mein kiran phuTne ko thi
kohre mein tha Dhake hue baghon ka ye saman
jis tarah zer-e-ab jhalakti hon bastiyan
bhigi hui zamin thi nami si faza mein thi
ek kisht-e-barf thi ki muallaq hawa mein thi
jadu ke farsh sehr ke sab saqf-o-baam the
dosh-e-hawa pe pariyon ke simin KHiyam the
thi ThanDe ThanDe nur mein khoi hui nigah
Dhal kar faza mein aai thi huron ki KHwab-gah
ban ban ke phen su-e-falak dekhta hua
dariya chala tha chhoD ke daman zamin ka
is shabnami dhundalke mein bagule the yun rawan
maujon pe mast ho ke chalen jaise machhliyan
Dala kabhi fazaon mein KHat kho gae kabhi
jhalke kabhi ufuq mein nihan ho gae kabhi
engine se uD ke kanpta phirta tha yun dhuan
leta tha lahr khet mein kohre ke aasman
us waqt kya tha ruh pe sadma na puchhiye
yaad aa raha tha kis se bichhaDna na puchhiye
dil mein kuchh aise ghaw the tir-e-malal ke
ro ro diya tha khiDki se gardan nikal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.