koi aane ka nahin ab
go hameñ mālūm thā
ki ab vo silsila baaqī nahīñ hai
go hameñ mālūm thā ki
nuuh aane ke nahīñ ab
haañ magar jab shahr meñ paanī dar aayā
ham ne kuchh mauhūm ummīdoñ ko paalā
aur ik baḌe pinDāl pe yakjā hue ham
aur ba-yak āvāz ham ne nuuh ko phir se pukārā
go hameñ mālūm thā ki
nuuh aane ke nahīñ ab
go hameñ ehsās ye bhī thā ki ham ne
ḳhud hī vo saarā samundar kaaT kar
us kā ruḳh moḌā thā apne shahr kī jānib
magar ham mutma.in the
mauhūm ummīdoñ ko aa.e din javāñ karte hue ham sab
ki phir se nuuh ā.eñge
bulā.eñge
jilau meñ apne taaza kashtiyāñ
maḳhlūq-e-ḳhudā ke taaza joḌe lā.eñge
aur ham phir se
nuuh kī kashtī meñ paanī se nikal jā.eñge ik din
ki ab paanī fasīleñ toḌ kar
shahr ko dariyā banāne pe tulā hai
ab nahīñ mālūm ki ham kis jagah haiñ kaun haiñ ham
ham abhī tak muntazir haiñ
ab hameñ kāmil yaqīñ hai
ibn-e-maryam lauT ā.eñge
hameñ zinda uThā.eñge
go hamein malum tha
ki ab wo silsila baqi nahin hai
go hamein malum tha ki
nuh aane ke nahin ab
han magar jab shahr mein pani dar aaya
hum ne kuchh mauhum ummidon ko pala
aur ek baDe pinDal pe yakja hue hum
aur ba-yak aawaz hum ne nuh ko phir se pukara
go hamein malum tha ki
nuh aane ke nahin ab
go hamein ehsas ye bhi tha ki hum ne
KHud hi wo sara samundar kaT kar
us ka ruKH moDa tha apne shahr ki jaanib
magar hum mutmain the
mauhum ummidon ko aae din jawan karte hue hum sab
ki phir se nuh aaenge
bulaenge
jilau mein apne taza kashtiyan
maKHluq-e-KHuda ke taza joDe laenge
aur hum phir se
nuh ki kashti mein pani se nikal jaenge ek din
ki ab pani fasilen toD kar
shahr ko dariya banane pe tula hai
ab nahin malum ki hum kis jagah hain kaun hain hum
hum abhi tak muntazir hain
ab hamein kaamil yaqin hai
ibn-e-maryam lauT aaenge
hamein zinda uThaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.